chhoTi si khiDki hai
chhoTī sī dīvār kī
chhoTī sī khiḌkī hai
kyā dekhnā pasand karoge
nīche kīchaḌ hai, uupar sitāre
kīchaḌ ko to haath baḌhā kar chhū bhī sakte ho
sitāroñ se qismat kā haal pūchh dekho
vo jhoñpaḌī jis ke liye
tum ḳhatarnāk had tak
apne jism ko moḌ rahe ho
dūsrī dīvār ke pīchhe hai
nazar nahīñ aa.egī
chhoTi si diwar ki
chhoTi si khiDki hai
kya dekhna pasand karoge
niche kichaD hai, upar sitare
kichaD ko to hath baDha kar chhu bhi sakte ho
sitaron se qismat ka haal puchh dekho
wo jhonpaDi jis ke liye
tum KHatarnak had tak
apne jism ko moD rahe ho
dusri diwar ke pichhe hai
nazar nahin aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.