Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoTu

Ankita Garg

chhoTu

Ankita Garg

MORE BYAnkita Garg

    chaa.e khānā bartan bhānDe

    saaf karnā jo haiñ gande

    bas yahī merā kaam hai

    aur jānte ho chhoTū merā naam hai

    ghar akelā laḌkā huuñ baaqī sab laḌkī haiñ

    chaar bachchoñ sañg bin maañ ke is ghar meñ kaḌkī hai

    maañ ke peT meñ merā saudā kiyā thā

    baabā ne mere dam par qarz chuktā kiyā thā

    banāyā mujh ko bañdhuā mazdūr

    kaam karne ko kiyā majbūr

    sukh to dekho kosoñ duur

    kahāñ se aa.e chehre par nuur

    paḌhnā likhnā to chhoḌo yahāñ khāne ke laale haiñ

    aise na ghabrāo ke in nanhe hāthoñ par chhāle haiñ

    chhoTū ho kar bhī is ghar ko bas ham paale haiñ

    aise dūsre hāthoñ meñ khilaunoñ ne ko dekhā hai

    par dekho ham par qismat ne kaisā patthar pheñkā hai

    kyā lagtā hai tum ko ham ne bahut khelā hai

    sab in hāthoñ ne bas kaam bojh jhelā hai

    is zindagī pahiya to yahī par jaam hai

    merī zindagī meñ bas ek yahī kaam hai

    aur jānte ho chhoTū merā naam hai

    chae khana bartan bhanDe

    saf karna jo hain gande

    bas yahi mera kaam hai

    aur jaante ho chhoTu mera nam hai

    ghar ka akela laDka hun baqi sab laDki hain

    chaar bachchon sang bin man ke is ghar mein kaDki hai

    man ke peT mein hi mera sauda kiya tha

    baba ne mere dam par qarz chukta kiya tha

    banaya mujh ko bandhua mazdur

    kaam karne ko kiya majbur

    sukh to dekho koson dur

    kahan se aae chehre par nur

    paDhna likhna to chhoDo yahan khane ke lale hain

    aise na ghabrao ke in nanhe hathon par chhaale hain

    chhoTu ho kar bhi is ghar ko bas hum hi pale hain

    aise hi dusre hathon mein khilaunon ne ko dekha hai

    par dekho hum par qismat ne kaisa patthar phenka hai

    kya lagta hai tum ko hum ne bahut khela hai

    sab in hathon ne bas kaam ka bojh jhela hai

    is zindagi ka pahiya to yahi par hi jam hai

    meri zindagi mein bas ek yahi kaam hai

    aur jaante ho chhoTu mera nam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now