chhuTTi ka din
agar raat aur sub.h meñ farq koī nahīñ hai
havā meñ parindoñ ke TuuTe hue par
bikharne lage haiñ
zamīnoñ pe ahkām ke lambe chābuk se
tārīḳh-dāñ apnī gardan jhukā.e hue haiñ
nasīboñ kī āvāz meñ vaqt Dhalne lagā hai
to phir!
nazm likhne kī ḳhvāhish
gunahgār insāf ke faisloñ se zyāda barī to nahīñ hai
agar mausamoñ kī ragoñ meñ lahū jam gayā hai
shikārī kī āñkhoñ meñ bārūd jalne lagā hai
dinoñ ke tamavvuj meñ
sūraj kā chehra utarne lagā hai
to phir
saañs lene kī ḳhvāhish
naqab-zan kī dhamkī se zyāda barī to nahīñ hai
mujhe nazm likhne do
aur saañs lene do
kuchh der apnī kamānoñ ko nīchā karo
aaj chhuTTī kā din hai
agar raat aur subh mein farq koi nahin hai
hawa mein parindon ke TuTe hue par
bikharne lage hain
zaminon pe ahkaam ke lambe chabuk se
tariKH-dan apni gardan jhukae hue hain
nasibon ki aawaz mein waqt Dhalne laga hai
to phir!
nazm likhne ki KHwahish
gunahgar insaf ke faislon se zyaada bari to nahin hai
agar mausamon ki ragon mein lahu jam gaya hai
shikari ki aankhon mein barud jalne laga hai
dinon ke tamawwuj mein
suraj ka chehra utarne laga hai
to phir
sans lene ki KHwahish
naqab-zan ki dhamki se zyaada bari to nahin hai
mujhe nazm likhne do
aur sans lene do
kuchh der apni kamanon ko nicha karo
aaj chhuTTi ka din hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.