Chicago
baḌe mulk ke ik baḌe shahr kī
tang-o-tīrā galī meñ khaḌā huuñ
falak
ūñche burjoñ ke bhāloñ se kaT kar ufaq tā-ufuq kirchī kirchī paḌā hai
zamīñ
paañv ke nīche badmast kashtī kī mānind hachkole khātī hai
aur maiñ khaḌā sochtā huuñ
ki dastār ko donoñ hāthoñ se thāmūñ
ki fōtpath kī girtī dīvār se
apne sar ko bachā.ūñ
baDe mulk ke ek baDe shahr ki
tang-o-tira gali mein khaDa hun
falak
unche burjon ke bhaalon se kaT kar ufaq ta-ufuq kirchi kirchi paDa hai
zamin
panw ke niche badmast kashti ki manind hachkole khati hai
aur main khaDa sochta hun
ki dastar ko donon hathon se thamun
ki footpath ki girti diwar se
apne sar ko bachaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.