chiDiya ghar
chiḌiyā ghar meñ basne vaalī
kaisā mizāj-e-ālī hai
munnū bhayyā pūchh rahe haiñ
kyā koī piñjra ḳhālī hai
dauḌ meñ sab se avval chītā
jañgal kī har race meñ jiitā
jaldī jaldī bol re sāthī
kachchā papītā pakkā papītā
jañgal ke sultān ko dekho
sher-e-babar kī shaan ko dekho
aisā bahādur koī nahīñ hai
dil vaale mehmān ko dekho
bhaag rahā hai haañp rahā hai
Dar ke maare kaañp rahā hai
buzdil gīdaḌ naam hai us kā
dekho kaisā bhāñp rahā hai
hāthī suuñD hilāne vaale
lambe daañt dikhāne vaale
dariyā dariyā jañgal jañgal
bhārī bojh uThāne vaale
bātoñ meñ bebāk bahut hai
sab par is kī dhaak bahut hai
bachcho is kā naam batāo
ye biibī chālāk bahut hai
ban-mānus ke khel ajab haiñ
circus jaise saare Dhab haiñ
aise khel kahāñ se sīkhe
dekhne vaale hairāñ sab haiñ
naach dikhāne vaale bhālū
tū kaalā terā naam hai kaalū
kis se hai tirī rishta-dārī
tū āḳhir hai kis kā ḳhālū
Dug Dug Dug Dug bandar aa.e
ḳhushī ḳhushī sasurāl ko jaa.e
chhan-chhan chhan-chhan nāche bandariyā
jaise madārī chāhe nachā.e
zebra dekho dhāriyoñ vaalā
paayā jis ne ruup nirālā
sub.h bhī is kī shaam bhī is kī
aadhā gorā aadhā kaalā
ye kachhve se hārne vaalā
jhūTī sheḳhī baghārne vaalā
āḳhir muñh kī khā jaatā hai
auroñ ko lalkārne vaalā
saañp jo pal pal bal khāte haiñ
biin baje to lahrāte haiñ
lahrā.eñ to jaage so.e
lākhoñ rañg nazar aate haiñ
kanThī pahne tote aa.e
hare hare se par phailā.e
miTThū beTā paḌh lete haiñ
koī in ko agar paḌhāye
sāras dekho kitnā baḌā hai
bādal jaise aan paḌā hai
machhlī aa.e aur pakaḌ luuñ
paanī meñ chup-chāp khaḌā hai
vo dekho vo aayā zarāfa
jaise koī bearing lifāfa
ham dete haiñ us ko duā.eñ
gardan meñ ho aur izāfa
chiDiya ghar mein basne wali
kaisa mizaj-e-ali hai
munnu bhayya puchh rahe hain
kya koi pinjra KHali hai
dauD mein sab se awwal chita
jangal ki har race mein jita
jaldi jaldi bol re sathi
kachcha papita pakka papita
jangal ke sultan ko dekho
sher-e-babar ki shan ko dekho
aisa bahadur koi nahin hai
dil wale mehman ko dekho
bhag raha hai hanp raha hai
Dar ke mare kanp raha hai
buzdil gidaD nam hai us ka
dekho kaisa bhanp raha hai
hathi sunD hilane wale
lambe dant dikhane wale
dariya dariya jangal jangal
bhaari bojh uThane wale
baaton mein bebak bahut hai
sab par is ki dhak bahut hai
bachcho is ka nam batao
ye bibi chaalak bahut hai
ban-manus ke khel ajab hain
circus jaise sare Dhab hain
aise khel kahan se sikhe
dekhne wale hairan sab hain
nach dikhane wale bhaalu
tu kala tera nam hai kalu
kis se hai teri rishta-dari
tu aaKHir hai kis ka KHalu
Dug Dug Dug Dug bandar aae
KHushi KHushi sasural ko jae
chhan-chhan chhan-chhan nache bandariya
jaise madari chahe nachae
zebra dekho dhaariyon wala
paya jis ne rup nirala
subh bhi is ki sham bhi is ki
aadha gora aadha kala
ye kachhwe se haarne wala
jhuTi sheKHi baghaarne wala
aaKHir munh ki kha jata hai
auron ko lalkarne wala
sanp jo pal pal bal khate hain
bin baje to lahraate hain
lahraen to jage soe
lakhon rang nazar aate hain
kanThi pahne tote aae
hare hare se par phailae
miTThu beTa paDh lete hain
koi in ko agar paDhaye
saras dekho kitna baDa hai
baadal jaise aan paDa hai
machhli aae aur pakaD lun
pani mein chup-chap khaDa hai
wo dekho wo aaya zarafa
jaise koi bearing lifafa
hum dete hain us ko duaen
gardan mein ho aur izafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.