chiDiya-ghar ki sair
ham saare schōl ke bachche
chiḌiyā ghar kī sair ko pahuñche
us kā har ik raaz nayā hai
jañgal kā andāz nayā hai
nevlā chūhā bandar dekhā
lomaḌ ghoḌā kuttā dekhā
jañgal ke raajā ko dekhā
pinjre meñ be-chāra baiThā
saath hī ik tālāb baḌā thā
us meñ magarmachh ek paḌā thā
chhoTe chhoTe saath the phirte
ik duuje par aa aa girte
duur se ik chiñghāḌ sī aa.ī
hāthī ne phir shakl dikhā.ī
kangarō bhī ham ne dekhā
ūd-bilāo bhī achchhā thā
dekhā ham ne bhālū aayā
ghuum rahā thā kaalā saayā
kaalā thā yā gorā gorā
aql se lekin thā vo korā
rīchh ajab andāz se aa.e
aa kar achchhe naach dikhā.e
genḌe kī bhī baat ajab hai
Dhaal ajab hai chaal ajab hai
āhū-e-tātār bhī dekhā
bārasinghā saath vahīñ thā
bandar ke ausāf ko dekhā
ham ne phir giraffe ko dekhā
sāras mor aur saañp jahāñ the
bakrī aur ḳhargosh vahāñ the
totā mainā tītar kavvā
aur thī rañgā-rañg kī chiḌiyā
baaz bhī dekhā chiil bhī dekhī
ham ne to abābīl bhī dekhī
un se ham ne lutf uThāyā
un ko dekh ke dil bahlāyā
dekh ke chiḌiyā-ghar jab aa.e
dil meñ ḳhushī ke phuul khile the
hum sare school ke bachche
chiDiya ghar ki sair ko pahunche
us ka har ek raaz naya hai
jangal ka andaz naya hai
newla chuha bandar dekha
lomaD ghoDa kutta dekha
jangal ke raja ko dekha
pinjre mein be-chaara baiTha
sath hi ek talab baDa tha
us mein magarmachh ek paDa tha
chhoTe chhoTe sath the phirte
ek duje par aa aa girte
dur se ek chinghaD si aai
hathi ne phir shakl dikhai
kangaroo bhi hum ne dekha
ud-bilao bhi achchha tha
dekha hum ne bhaalu aaya
ghum raha tha kala saya
kala tha ya gora gora
aql se lekin tha wo kora
richh ajab andaz se aae
aa kar achchhe nach dikhae
genDe ki bhi baat ajab hai
Dhaal ajab hai chaal ajab hai
aahu-e-tatar bhi dekha
barasingha sath wahin tha
bandar ke ausaf ko dekha
hum ne phir giraffe ko dekha
saras mor aur sanp jahan the
bakri aur KHargosh wahan the
tota maina titar kawwa
aur thi ranga-rang ki chiDiya
baz bhi dekha chil bhi dekhi
hum ne to ababil bhi dekhi
un se hum ne lutf uThaya
un ko dekh ke dil bahlaya
dekh ke chiDiya-ghar jab aae
dil mein KHushi ke phul khile the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.