chiDiya rani
chiḌiyā raanī chiḌiyā raanī
chhoTī sī par baḌī siyānī
jis ghar meñ ho terā baserā
lagtī hai tū sab ko pyārī
sūrat terī bholī-bhālī
chuuñ chuuñ terī baḌī nirālī
chhoTe sundar pañkh ye tere
lagte haiñ ham sab ko achchhe
daana daana jab chugtī hai
ham sab ko achchhī lagtī hai
baat ye ham ko kab bhātī hai
phir se jab tū uḌ jaatī hai
chiDiya rani chiDiya rani
chhoTi si par baDi siyani
jis ghar mein ho tera basera
lagti hai tu sab ko pyari
surat teri bholi-bhaali
chun chun teri baDi nirali
chhoTe sundar pankh ye tere
lagte hain hum sab ko achchhe
dana dana jab chugti hai
hum sab ko achchhi lagti hai
baat ye hum ko kab bhati hai
phir se jab tu uD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.