chiDiyan
hañstī chiḌiyāñ gaatī chiḌiyāñ
aatī chiḌiyāñ jaatī chiḌiyāñ
humak humak itrātī chiḌiyāñ
apne rañg dikhātī chiḌiyāñ
dhuup meñ apne pañkh pasāre
chhajje par sustātī chiḌiyāñ
mausam ne palTā khāyā hai
shahroñ meñ dehātī chiḌiyāñ
kab se baiThā dekh rahā huuñ
'tāriq' shor machātī chiḌiyāñ
hansti chiDiyan gati chiDiyan
aati chiDiyan jati chiDiyan
humak humak itraati chiDiyan
apne rang dikhati chiDiyan
dhup mein apne pankh pasare
chhajje par sustati chiDiyan
mausam ne palTa khaya hai
shahron mein dehati chiDiyan
kab se baiTha dekh raha hun
'tariq' shor machati chiDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.