chil ka saya
dhuup dīvār se reñgte reñgte
chārpā.ī ke nīche
laTakte hue paañv par aa ke Dasne lagī!
khelte khelte
munnī chillā.ī roī phir hañse lagī
chiil kā saayā
āñgan se
dīvār se
chhat se hotā huā
paas vaalī galī meñ kahīñ gir gayā!
aur maiñ dhuup meñ
jhūltī chārpā.ī par leTā huā
alganī par laTaktī
phaTī painT kī ḳhālī jeboñ ko taktā rahā!
painT kī ḳhālī jeboñ se paanī Tapaktā rahā!
dhuup kā zahr
pairoñ se hotā huā
dil kī jānib lapaktā rahā!
chiil kā saayā
saare badan meñ bhaTaktā rahā!!
dhup diwar se rengte rengte
chaarpai ke niche
laTakte hue panw par aa ke Dasne lagi!
khelte khelte
munni chillai roi phir hanse lagi
chil ka saya
aangan se
diwar se
chhat se hota hua
pas wali gali mein kahin gir gaya!
aur main dhup mein
jhulti chaarpai par leTa hua
algani par laTakti
phaTi painT ki KHali jebon ko takta raha!
painT ki KHali jebon se pani Tapakta raha!
dhup ka zahr
pairon se hota hua
dil ki jaanib lapakta raha!
chil ka saya
sare badan mein bhaTakta raha!!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 277)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.