chizon ke andar jhankne ki koshish
maiñ ne ek sūkhte peḌ par
nazm likhnā shurūa kī
mere andar piile pattoñ ke Dher lag ga.e
maiñ ne havā par nazm likhī
mere andar shāḳheñ phūTne lagīñ
phuul merī hatheliyoñ se
bāhar nikal aa.e
maiñ ne bārish par nazm likhī
merī chādar ke pallū bhiig ga.e
jin ko sukhāne ke liye
maiñ ne
dhuup par nazm likhī
sūraj savā neze par aa gayā
peḌ jalne lage
aur parind marne lage
maiñ ne bādaloñ ke liye haath uThā.e
phir kashtiyāñ kam paḌ ga.iiñ
log Dūbne lage
maiñ ne Dūbne vāloñ par nazm likhnā chāhī
lāsheñ hī lāsheñ merī chāroñ jānib tairne lagīñ
har ek laash kahne lagī
pahle mujh par likho
pahle mujh par
maiñ ne is shor meñ
apnī bhī chīḳheñ sunīñ
phir mere andar
ek gahre aur pur-asrār sukūt ne baserā kar liyā
ab maiñ is sukūt kī mezbānī kartī huuñ
isī ke saath bāteñ kartī huuñ
sotī aur jāgtī huuñ
dīvāreñ mere liye
libās bantī rahtī haiñ
khiḌkiyāñ aur raushan-dān mere vajūd ke ghaav haiñ
jin par
har aatī huī sub.h aur Dhaltī huī shaam
apnā apnā marham rakhtī haiñ
aur mujh se kahtī haiñ ham par bhī nazm likhnā jab ye ghaav bhar jaa.eñ
galī meñ khelte bachche
kabhī kabhī
khiḌkī ke shīshe se āñkheñ chipkā kar
andar jhāñkne kī koshish karte haiñ
unheñ kaun ye samjhā.e
chīzoñ ke andar jhāñkne kī koshish
shā.ir banā detī hai
main ne ek sukhte peD par
nazm likhna shurua ki
mere andar pile patton ke Dher lag gae
main ne hawa par nazm likhi
mere andar shaKHen phuTne lagin
phul meri hatheliyon se
bahar nikal aae
main ne barish par nazm likhi
meri chadar ke pallu bhig gae
jin ko sukhane ke liye
main ne
dhup par nazm likhi
suraj sawa neze par aa gaya
peD jalne lage
aur parind marne lage
main ne baadalon ke liye hath uThae
phir kashtiyan kam paD gain
log Dubne lage
main ne Dubne walon par nazm likhna chahi
lashen hi lashen meri chaaron jaanib tairne lagin
har ek lash kahne lagi
pahle mujh par likho
pahle mujh par
main ne is shor mein
apni bhi chiKHen sunin
phir mere andar
ek gahre aur pur-asrar sukut ne basera kar liya
ab main is sukut ki mezbani karti hun
isi ke sath baaten karti hun
soti aur jagti hun
diwaren mere liye
libas banti rahti hain
khiDkiyan aur raushan-dan mere wajud ke ghaw hain
jin par
har aati hui subh aur Dhalti hui sham
apna apna marham rakhti hain
aur mujh se kahti hain hum par bhi nazm likhna jab ye ghaw bhar jaen
gali mein khelte bachche
kabhi kabhi
khiDki ke shishe se aankhen chipka kar
andar jhankne ki koshish karte hain
unhen kaun ye samjhae
chizon ke andar jhankne ki koshish
shair bana deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.