achchhi baaten
pyāre bachcho tum ek kaam karo
apnī nekī se paidā naam karo
bā-adab bā-nasīb hotā hai
tum buzurgoñ kā ehtirām karo
be-adab be-nasīb hotā hai
is liye sab ko tum salām karo
tum se nārāz ho agar koī
apnī bātoñ se us ko raam karo
apne dushman se ḳhud gale mil kar
saare shikve-gile tamām karo
jis kisī se milo to hañs ke milo
narm lahje meñ phir kalām karo
raah meñ jab mile koī majbūr
chhoḌ kar apnā us kā kaam karo
baiThne se jahāñ mile nekī
aisī majlis kā ehtimām karo
ḳhuub mehnat karo paḌhā.ī meñ
bas yahī kaam sub.h-o-shām karo
apne kirdār ke sahāre tum
ilm kā shauq sab meñ aam karo
ilm hī lā-zavāl daulat hai
mushtahar bas yahī payām karo
pyare bachcho tum ek kaam karo
apni neki se paida nam karo
ba-adab ba-nasib hota hai
tum buzurgon ka ehtiram karo
be-adab be-nasib hota hai
is liye sab ko tum salam karo
tum se naraaz ho agar koi
apni baaton se us ko ram karo
apne dushman se KHud gale mil kar
sare shikwe-gile tamam karo
jis kisi se milo to hans ke milo
narm lahje mein phir kalam karo
rah mein jab mile koi majbur
chhoD kar apna us ka kaam karo
baiThne se jahan mile neki
aisi majlis ka ehtimam karo
KHub mehnat karo paDhai mein
bas yahi kaam subh-o-sham karo
apne kirdar ke sahaare tum
ilm ka shauq sab mein aam karo
ilm hi la-zawal daulat hai
mushtahar bas yahi payam karo
- Book : Tazgi (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.