barsat
barkhā aa.ī bādal aa.e
oḌhe kaale kambal aa.e
ThanDī ThanDī aa.iiñ havā.eñ
kaalī kaalī chhā.īñ ghaTā.eñ
garmī ne Derā uThvāyā
dhuup pe saaya ġhālib aayā
bādal se amrit jal barsā
amrit jal kaisā komal barsā
ho ga.ī zinda murda khetī
Dhal ga.e zarre chamkī khetī
dariyā aur samundar ubhre
taaza maujeñ le kar ubhre
bāġhoñ meñ sabza lahrāyā
phūloñ kaliyoñ meñ ras aayā
phir shāḳhoñ ne ḳhil.at pahnī
phir paa.e hariyāle gahne
phuul khile kaliyāñ lahrā.īñ
koñpleñ phir shāḳhoñ meñ aa.iiñ
motī bādal ne barsā.e
pattoñ ne dāman phailā.e
tālāboñ meñ meñDak bole
sīpoñ ne muñh apne khole
bādal garjā bijlī chamkī
aa.ī sadā rim-jhim rim-jhim kī
barkha aai baadal aae
oDhe kale kambal aae
ThanDi ThanDi aain hawaen
kali kali chhain ghaTaen
garmi ne Dera uThwaya
dhup pe saya ghaalib aaya
baadal se amrit jal barsa
amrit jal kaisa komal barsa
ho gai zinda murda kheti
Dhal gae zarre chamki kheti
dariya aur samundar ubhre
taza maujen le kar ubhre
baghon mein sabza lahraya
phulon kaliyon mein ras aaya
phir shaKHon ne KHilat pahni
phir pae hariyale gahne
phul khile kaliyan lahrain
konplen phir shaKHon mein aain
moti baadal ne barsae
patton ne daman phailae
talabon mein meinDak bole
sipon ne munh apne khole
baadal garja bijli chamki
aai sada rim-jhim rim-jhim ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.