apnī manzil paanā hai
ham ko aage jaanā hai
rasta hai pur-ḳhār to kyā
chalnā hai dushvār to kyā
aage hai dīvār to kyā
dīvāroñ ko Dhānā hai
ham ko aage jaanā hai
apnī manzil paanā hai
ilm se allāh aur nabī
ilm se apnī ye hastī
ilm se diin aur duniyā bhī
diin aur duniyā paanā hai
ham ko aage jaanā hai
apnī manzil paanā hai
amn se ham haiñ aur tum bhī
amn hai raunaq duniyā kī
amn se duniyā hai baaqī
duniyā ko samjhānā hai
ham ko aage jaanā hai
apnī manzil paanā hai
dars hai ye har-chand adaq
kyuuñ ho is kā hameñ qalaq
maazī se ab le ke sabaq
mustaqbil chamkānā hai
ham ko aage jaanā hai
apnī manzil paanā hai
apni manzil pana hai
hum ko aage jaana hai
rasta hai pur-KHar to kya
chalna hai dushwar to kya
aage hai diwar to kya
diwaron ko Dhana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
ilm se allah aur nabi
ilm se apni ye hasti
ilm se din aur duniya bhi
din aur duniya pana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
amn se hum hain aur tum bhi
amn hai raunaq duniya ki
amn se duniya hai baqi
duniya ko samjhana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
dars hai ye har-chand adaq
kyun ho is ka hamein qalaq
mazi se ab le ke sabaq
mustaqbil chamkana hai
hum ko aage jaana hai
apni manzil pana hai
- Book : Khushboo Khushboo Nazmen Apni (Pg. 38)
- Author : Ata Abidi
- Publication : Book Emporium,Urdu Bazar Sabzi Bagh, Patna (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.