ham ko hai faḳhr is par ham haiñ sharīr bachche
māhir haiñ apne fan meñ ham be-nazīr bachche
pille ko ghar meñ laa.eñ bāñhoñ meñ ham jakaḌ kar
mauqa.a mile to khīñcheñ billī kī dum pakaḌ kar
dekheñ agar gad.he ko dāġheñ use salāmī
apnā jo bas chale to us kī kareñ ġhulāmī
bakre pe baiTh kar ham galiyoñ meñ roz ghūmeñ
chūñ-chūñ kare jo chūza us ko zarūr chūmeñ
bistar kī sabz chādar ḳhargosh ko uḌhā deñ
munnū kī laal Topī bakre ko ham pahnā deñ
dādā-miyāñ kā chashma āñkhoñ meñ ham lagā kar
rasta chaleñ kamar ko apnī zarā jhukā kar
aayā nasīhatoñ par ham ko na kaan denā
murġhoñ ke saath mil kar bhaa.e azaan denā
baajī kā har dupaTTa apnā bane amāma
joker baneñ pahan kar bhayyā kā pā.ejāma
sofoñ pe ḳhuub kūdeñ ūdham bahut machā.eñ
mil jaa.e jo kanastar phir Dhol ham bajā.eñ
garmī kī dopahar meñ bāġhoñ kī ḳhaak phāñkeñ
chiḌiyoñ ke ghoñsloñ meñ jā jā ke roz jhāñkeñ
amrūd hoñ jo kachche un ko zarūr toḌeñ
sab kaam chhūT jaa.e ye kaam ham na chhoḌeñ
paanī meñ rañg gholeñ us kā banā.eñ sharbat
peḌoñ pe chaḌh ke baiTheñ samjheñ use hī parbat
kutte ko dekhte hī dauḌā.eñ le ke DañDā
apnī bahādurī kā lahrā.eñ ḳhuub jhanDā
yāroñ ke saath mil kar qavvāliyāñ bhī gaa.eñ
tabla bajā.eñ muñh se aur taan bhī uḌā.eñ
insāf-var haiñ jitne vo is ko mānte haiñ
duniyā kī har sharārat ham ḳhuub jānte haiñ
ham ko hai faḳhr is par ham haiñ sharīr bachche
māhir haiñ apne fan meñ ham be-nazīr bachche
hum ko hai faKHr is par hum hain sharir bachche
mahir hain apne fan mein hum be-nazir bachche
pille ko ghar mein laen banhon mein hum jakaD kar
mauqa mile to khinchen billi ki dum pakaD kar
dekhen agar gadhe ko daghen use salami
apna jo bas chale to us ki karen ghulami
bakre pe baiTh kar hum galiyon mein roz ghumen
chun-chun kare jo chuza us ko zarur chumen
bistar ki sabz chadar KHargosh ko uDha den
munnu ki lal Topi bakre ko hum pahna den
dada-miyan ka chashma aankhon mein hum laga kar
rasta chalen kamar ko apni zara jhuka kar
aaya nasihaton par hum ko na kan dena
murghon ke sath mil kar bhae azan dena
baji ka har dupaTTa apna bane amama
joker banen pahan kar bhayya ka paejama
sofon pe KHub kuden udham bahut machaen
mil jae jo kanastar phir Dhol hum bajaen
garmi ki dopahar mein baghon ki KHak phanken
chiDiyon ke ghonslon mein ja ja ke roz jhanken
amrud hon jo kachche un ko zarur toDen
sab kaam chhuT jae ye kaam hum na chhoDen
pani mein rang gholen us ka banaen sharbat
peDon pe chaDh ke baiThen samjhen use hi parbat
kutte ko dekhte hi dauDaen le ke DanDa
apni bahaduri ka lahraen KHub jhanDa
yaron ke sath mil kar qawwaliyan bhi gaen
tabla bajaen munh se aur tan bhi uDaen
insaf-war hain jitne wo is ko mante hain
duniya ki har shararat hum KHub jaante hain
hum ko hai faKHr is par hum hain sharir bachche
mahir hain apne fan mein hum be-nazir bachche
Source :
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 6)
- Author : Zafar Kamali
-
Publication : qaumi council baraye-farogh urdu
(2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.