thoDa thoDa mil kar bahut ho jata hai
banāyā hai chiḌiyoñ ne jo ghoñsla
so ek ek tinkā ikaTThā kiyā
gayā ek hī baar sūraj na Duub
magar rafta rafta huā hai ġhurūb
qadam hī qadam tai huā hai safar
ga.iiñ lahze lahze meñ umreñ guzar
samundar kī lahroñ kā tāñtā sadā
kināre se hai aa ke Takrā rahā
samundar se dariyā se uThtī hai mauj
sadā kartī rahtī hai dhāvā ye fauj
karārūñ ko āḳhir girā hī diyā
chaTānoñ ko bilkul safā-chaT kiyā
barastā jo meñh mūslā-dhār hai
so ye nannhī būñdoñ kī bauchhār hai
daraḳhtoñ ke jhunD aur jañgal ghane
yūñhī patte pate se mil kar bane
hue reshe reshe se ban aur jhaaḌ
banā zarre zarre se mil kar pahāḌ
lagā daane daane se ġhalle kā Dher
paḌā lamhe lamhe se barsoñ kā pher
jo ek ek pal kar ke din kaT gayā
to ghaḌiyoñ hī ghaḌiyoñ baras ghaT gayā
likhā likhne vaale ne ek ek harf
huiiñ gaDDiyāñ kitnī kāġhaz kī sarf
huī likhte likhte murattab kitāb
isī par har ik shai kā samjho hisāb
har ik ilm-o-fan aur kartab hunar
na thā pahle hī din se is Dhañg par
yūñhī baḌhte baḌhte taraqqī huī
jo neza hai ab thā vo pahle suī
julāhe ne joḌā thā ek ek taar
hue thaan jis ke gazoñ se shumār
yūñhī phuiyoñ phuiyoñ bhare jhiil taal
yūñhī kauḌī kauḌī huā jam.a maal
agar thoḌā thoḌā karo sub.h o shaam
baḌe se baḌā kaam bhī ho tamām
banaya hai chiDiyon ne jo ghonsla
so ek ek tinka ikaTTha kiya
gaya ek hi bar suraj na Dub
magar rafta rafta hua hai ghurub
qadam hi qadam tai hua hai safar
gain lahze lahze mein umren guzar
samundar ki lahron ka tanta sada
kinare se hai aa ke Takra raha
samundar se dariya se uThti hai mauj
sada karti rahti hai dhawa ye fauj
kararun ko aaKHir gira hi diya
chaTanon ko bilkul safa-chaT kiya
barasta jo meinh musla-dhaar hai
so ye nannhi bundon ki bauchhaar hai
daraKHton ke jhunD aur jangal ghane
yunhi patte pate se mil kar bane
hue reshe reshe se ban aur jhaD
bana zarre zarre se mil kar pahaD
laga dane dane se ghalle ka Dher
paDa lamhe lamhe se barson ka pher
jo ek ek pal kar ke din kaT gaya
to ghaDiyon hi ghaDiyon baras ghaT gaya
likha likhne wale ne ek ek harf
huin gaDDiyan kitni kaghaz ki sarf
hui likhte likhte murattab kitab
isi par har ek shai ka samjho hisab
har ek ilm-o-fan aur kartab hunar
na tha pahle hi din se is Dhang par
yunhi baDhte baDhte taraqqi hui
jo neza hai ab tha wo pahle sui
julahe ne joDa tha ek ek tar
hue than jis ke gazon se shumar
yunhi phuiyon phuiyon bhare jhil tal
yunhi kauDi kauDi hua jama mal
agar thoDa thoDa karo subh o sham
baDe se baDa kaam bhi ho tamam
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.