choga chunti chiDiya ke dukh
chogā chuntī chiḌiyā terī palkoñ par ugne vaale
ḳhvāboñ ke añkhue
kaun chun saktā hai
tū to ye bhī nahīñ jāntī
jaane kab koī mailī nazroñ kā jaal tujh par pheñke
aur tū be-nūr āñkhoñ ke pinjre meñ qaid ho kar
tamām umr ke liye
chahaknā bhuul jaa.e
chiḌiyā tū to paglī hai
chogā chuntī ḳhvāb dekhtī hai
tujhe kyā ma.alūm hai
kabhī kabhī ḳhvāboñ kī maañg bharne ke liye
āñkhoñ kī vīrān khiḌkiyoñ se
ThiThure hue rut jage
buuñd buuñd dil kī zamīn par Tapakte haiñ to
vahāñ duur duur tak udāsī bharā jañgal
ag aatā hai
jis par sivā.e dukh dard ke koī phal nahīñ lagtā
magar bholī chiḌiyā
tū ye sab nahīñ jāntī
shāyad kabhī jaan bhī nahīñ saktī
choga chunti chiDiya teri palkon par ugne wale
KHwabon ke ankhue
kaun chun sakta hai
tu to ye bhi nahin jaanti
jaane kab koi maili nazron ka jal tujh par phenke
aur tu be-nur aankhon ke pinjre mein qaid ho kar
tamam umr ke liye
chahakna bhul jae
chiDiya tu to pagli hai
choga chunti KHwab dekhti hai
tujhe kya malum hai
kabhi kabhi KHwabon ki mang bharne ke liye
aankhon ki viran khiDkiyon se
ThiThure hue rut jage
bund bund dil ki zamin par Tapakte hain to
wahan dur dur tak udasi bhara jangal
ag aata hai
jis par siwae dukh dard ke koi phal nahin lagta
magar bholi chiDiya
tu ye sab nahin jaanti
shayad kabhi jaan bhi nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.