chor darwaza
mere sone kamre meñ to
koī nahīñ thā
maiñ ne is kamre ko ḳhālī kar ke
sab darvāze
band rakhe the
gosha gosha dekh chukā thā
koī nahīñ thā
maiñ thā merī tanhā.ī thī
lekin mujh ko ye to batāo
tum āḳhir kis darvāze se
is kamre meñ dar aa.ī ho
mere sone kamre mein to
koi nahin tha
main ne is kamre ko KHali kar ke
sab darwaze
band rakhe the
gosha gosha dekh chuka tha
koi nahin tha
main tha meri tanhai thi
lekin mujh ko ye to batao
tum aaKHir kis darwaze se
is kamre mein dar aai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.