chori ki bhuk
sun
mujhe tere luqme kī
thālī kī
hirs-o-havas kī qasam
ye mirā rizq thā
zā.iqa jis kā terī zabāñ ne chakhā
kyā batā.ūñ tujhe
maiñ kaḌaktī huī dhuup meñ pā-barahna kahāñ tak chalī
maiñ ne kitne kaḌe kos kaaTe to do ghūñT paanī milā
kaise merā lahū
paanī ho ke masāmoñ se bahtā rahā
aur maiñ Dhotī rahī rañj kī gaThriyāñ
kyā kahūñ
kis mashaqqat ne hāthoñ ko zaḳhm aur pairoñ ko chhāloñ kā tohfa diyā
ye mirī mehnatoñ kī kamā.ī thī
jo terī thālī meñ hai
sun
mujhe merī fāqa-kashī kī qasam
sun
mujhe tere luqme ki
thaali ki
hirs-o-hawas ki qasam
ye mera rizq tha
zaiqa jis ka teri zaban ne chakha
kya bataun tujhe
main kaDakti hui dhup mein pa-barahna kahan tak chali
main ne kitne kaDe kos kaTe to do ghunT pani mila
kaise mera lahu
pani ho ke masamon se bahta raha
aur main Dhoti rahi ranj ki gaThriyan
kya kahun
kis mashaqqat ne hathon ko zaKHm aur pairon ko chhaalon ka tohfa diya
ye meri mehnaton ki kamai thi
jo teri thaali mein hai
sun
mujhe meri faqa-kashi ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.