choT lagti hai agar
kitne hī sāhib-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-qalam
ik zamāne se yūñhī likhte chale aa.e haiñ
vahī ik qissa-e-dil-doz ki jo sadiyoñ se
hai ravāñ muflis-o-zardār ke biich
ek ik harf likhā ḳhūn-e-jigar se lekin
kuchh nahīñ badlā bajā kahte ho
kuchh na badlegā maiñ jo bhī likkhūñ
haañ ye sach hai maiñ ise māntī huuñ
lekin ai dost suno
itnā haq mujh ko do
choT lagtī hai agar
rone to do
kitne hi sahib-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-qalam
ek zamane se yunhi likhte chale aae hain
wahi ek qissa-e-dil-doz ki jo sadiyon se
hai rawan muflis-o-zardar ke bich
ek ek harf likha KHun-e-jigar se lekin
kuchh nahin badla baja kahte ho
kuchh na badlega main jo bhi likkhun
han ye sach hai main ise manti hun
lekin ai dost suno
itna haq mujh ko do
choT lagti hai agar
rone to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.