christmas ka daraKHt
maiñ bhī huuñ goyā christmas kā daraḳht
merā rishta bhī zamīñ se āsmāñ se aur havā se kaT chukā
baaġh chhūTā khetiyāñ chhūTīñ
maiñ ghar ke markazī kamre meñ aa kar DaT chukā
mere bachchoñ ne sajāyā hai mujhe
raushnī ke nanhe nanhe bulb Tāñke haiñ mirī bāñhoñ ke saath
merī shāḳhoñ meñ haiñ tohfe
muḳhtalif rangoñ ke kāġhaz aur sunahre tape meñ lipTe hue
hai raqam har ek tohfe par koī mānūs naam
raat hogī aur dinner ke ba.ad mere paas sab aa jā.eñge
merī biivī mere bachche mere dost
merī shāḳhoñ se utāre jā.eñge tohfe tamām
jāgtī soī huī guḌiyā
damaktī dhāriyoñ vaalā frock
mere beTe ke liye bandūq
jis se vo karegā uḌtī chiḌiyoñ kā shikār
merī biivī ke liye necklace chamaktā pur-vaqār
aur bhī tohfe bahut se be-shumār
aur bachchoñ ke liye aur apne pyāroñ ke liye
jab guzar jā.egī shab
baT chukeñge saare tohfe bujh chukeñge bulb sab
maiñ drawing-rōm kī be-kār shai ho jā.ūñgā
mere sūkhe zard-pattoñ kī mahak
jāgtī-jītī fazā meñ kab talak
phir mirī biivī kahegī
aao bachcho ghar kī zebā.ish na.e sire se kareñ
pheñk deñ ab ghar se bāhar ye christmas kā daraḳht
pattā pattā us kī har ik shāḳh kā murjhā gayā
ab nayā saal aa gayā
main bhi hun goya christmas ka daraKHt
mera rishta bhi zamin se aasman se aur hawa se kaT chuka
bagh chhuTa khetiyan chhuTin
main ghar ke markazi kamre mein aa kar DaT chuka
mere bachchon ne sajaya hai mujhe
raushni ke nanhe nanhe bulb Tanke hain meri banhon ke sath
meri shaKHon mein hain tohfe
muKHtalif rangon ke kaghaz aur sunahre tape mein lipTe hue
hai raqam har ek tohfe par koi manus nam
raat hogi aur dinner ke baad mere pas sab aa jaenge
meri biwi mere bachche mere dost
meri shaKHon se utare jaenge tohfe tamam
jagti soi hui guDiya
damakti dhaariyon wala frock
mere beTe ke liye banduq
jis se wo karega uDti chiDiyon ka shikar
meri biwi ke liye necklace chamakta pur-waqar
aur bhi tohfe bahut se be-shumar
aur bachchon ke liye aur apne pyaron ke liye
jab guzar jaegi shab
baT chukenge sare tohfe bujh chukenge bulb sab
main drawing-room ki be-kar shai ho jaunga
mere sukhe zard-patton ki mahak
jagti-jiti faza mein kab talak
phir meri biwi kahegi
aao bachcho ghar ki zebaish nae sire se karen
phenk den ab ghar se bahar ye christmas ka daraKHt
patta patta us ki har ek shaKH ka murjha gaya
ab naya sal aa gaya
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 285)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.