chubhte KHwab
ḳhvāb hī to mile haiñ hameñ roTī ke ḳhvāb ta.alīm ke ḳhvāb
hukmarānoñ ne dikhā.e āzādī ke ba.ad na.ī tanzīm ke ḳhvāb
paiñsaTh saal ke ba.ad bhī ham karte haiñ un kī qadam-bosī
hukmarānoñ ne kyā ghol kar diye haiñ is yaqīñ ke ḳhvāb
nā saḌak nā bijlī nā paanī nā rozgār hai mayassar
mulk ke ikkīsvīñ sadī meñ pahuñchne ke ye hasīn se ḳhvāb
mat āvāz uThā mat maañg insāf jarā sā Dar pyāre
varna tū dekhegā havālāt meñ baiTh ke nañgī zamīn pe ḳhvāb
āñkhoñ meñ bhar le haqīqat ke kāñch ke TukḌe taaki khulī raheñ
jāgte hue tai kareñ ham ḳhud ke liye behtarīn se ḳhvāb
KHwab hi to mile hain hamein roTi ke KHwab talim ke KHwab
hukmaranon ne dikhae aazadi ke baad nai tanzim ke KHwab
painsaTh sal ke baad bhi hum karte hain un ki qadam-bosi
hukmaranon ne kya ghol kar diye hain is yaqin ke KHwab
na saDak na bijli na pani na rozgar hai mayassar
mulk ke ikkiswin sadi mein pahunchne ke ye hasin se KHwab
mat aawaz uTha mat mang insaf jara sa Dar pyare
warna tu dekhega hawalat mein baiTh ke nangi zamin pe KHwab
aankhon mein bhar le haqiqat ke kanch ke TukDe taki khuli rahen
jagte hue tai karen hum KHud ke liye behtarin se KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.