chuhiya aur chiDiya
ik chuhiyā aur ik chiḌiyā meñ bahut hī gahrī chhantī thī
saath saath mil kar thī rahtīñ ḳhuub hī un meñ bantī thī
gāgar le kar ga.iiñ vo ik din nadī se paanī laane
chiḌiyā ne bharā choñch se paanī lagī chuhiyā Dubkī khāne
dum ko pakaḌ kar choñch se chiḌiyā paanī ke bāhar laa.ī use
dost kī jaan bachā ke ḳhushī se mājrā sab batlā.ī use
aah sakhī tū Duub chalī thī maujūd na gar maiñ hotī yahāñ
shukr huā tirī dum lagī hatthe jis ko pakaḌ kar laa.ī yahāñ
ehsān se ho kar lā-parvāh chuhiyā ne us ko diyā bayāñ
un pe ġhota thā maiñ ne to lagāyā Duub chalī thī bhalā kahāñ
ik roz jab kar ke sulh nahāne ko donoñ jaatī thiiñ
usī raah se bhaiñs bhī paanī piine ko jaatī thiiñ
chiḌiyā uḌtī jaatī thī aur chuhiyā nīche chaltī thī
aisī jagah par pahūñchī chuhiyā gobar bhaiñs jahāñ kartī thī
lat-pat gobar meñ dab ga.ī chuhiyā nīche shor machātī thī
choñch se gauhar haTā ke chiḌiyā us ko bāhar laatī thī
gobar se chuhiyā niklī tab chiḌiyā ne gahrī saañs bharī
haa.e sakhī is baar to samjhā maiñ ne bahan tū marī marī
agar na hotī maiñ to tumhārī jaan thī bachnā nā-mumkin
tere liye thā Dher se gobar ke to nikalnā nā-mumkin
ehsān se ho kar lā-parvāh chuhiyā ne us ko diyā bayān
uñh ubTan thā maiñ ne to lagāyā marne lagī thī bhalā kahāñ
paanī nahā kar niklī chiḌiyā peḌ pe jism sukhāne lagī
chaḌhne ko uupar daraḳht ke chuhiyā bhī chhalāñgeñ bharne lagīñ
kīkar kā thā daraḳht jo ki kāñToñ se thā bharā huā
ik thā kāñTā siidh meñ naak kī chuhiyā ke vaañ khaḌā huā
uchhlī chuhiyā baar baar kāñTe par jākar aTak ga.ī
kīkar ke kāñTe ke sahāre jhaaḌ se chuhiyā laTak ga.ī
dekhā chiḌiyā ne ki chuhiyā uljhī phir na.e dushman se
choñch se koshish karke chhuḌāyā ḳhaar ko us ke dāman se
ḳhush ho ke rihā.ī par us kī chiḌiyā ne kahā ai pyārī sakhī
is baar to laale the jaan ke ye aa.ī musībat thī kaisī
agar na hotī saath tere phir kaun bachātā thā tujh ko
laTak laTak kar Tahnī par hī mar jaanā hotā tujh ko
ehsān se ho kar lā-parvā chuhiyā ne us ko diyā bayān
uñh naak chhidāne ga.ī thī un meñ marne lagī thī bhalā kahāñ
nā-shukrī chuhiyā kī dekho be-ġharzī chiḌiyā kī dekho
ehsān ke badle ho mamnūn nā-shukroñ par ehsān karo
ek chuhiya aur ek chiDiya mein bahut hi gahri chhanti thi
sath sath mil kar thi rahtin KHub hi un mein banti thi
gagar le kar gain wo ek din nadi se pani lane
chiDiya ne bhara chonch se pani lagi chuhiya Dubki khane
dum ko pakaD kar chonch se chiDiya pani ke bahar lai use
dost ki jaan bacha ke KHushi se majra sab batlai use
aah sakhi tu Dub chali thi maujud na gar main hoti yahan
shukr hua teri dum lagi hatthe jis ko pakaD kar lai yahan
ehsan se ho kar la-parwah chuhiya ne us ko diya bayan
un pe ghota tha main ne to lagaya Dub chali thi bhala kahan
ek roz jab kar ke sulh nahane ko donon jati thin
usi rah se bhains bhi pani pine ko jati thin
chiDiya uDti jati thi aur chuhiya niche chalti thi
aisi jagah par pahunchi chuhiya gobar bhains jahan karti thi
lat-pat gobar mein dab gai chuhiya niche shor machati thi
chonch se gauhar haTa ke chiDiya us ko bahar lati thi
gobar se chuhiya nikli tab chiDiya ne gahri sans bhari
hae sakhi is bar to samjha main ne bahan tu mari mari
agar na hoti main to tumhaari jaan thi bachna na-mumkin
tere liye tha Dher se gobar ke to nikalna na-mumkin
ehsan se ho kar la-parwah chuhiya ne us ko diya bayan
unh ubTan tha main ne to lagaya marne lagi thi bhala kahan
pani naha kar nikli chiDiya peD pe jism sukhane lagi
chaDhne ko upar daraKHt ke chuhiya bhi chhalangen bharne lagin
kikar ka tha daraKHt jo ki kanTon se tha bhara hua
ek tha kanTa sidh mein nak ki chuhiya ke wan khaDa hua
uchhli chuhiya bar bar kanTe par jakar aTak gai
kikar ke kanTe ke sahaare jhaD se chuhiya laTak gai
dekha chiDiya ne ki chuhiya uljhi phir nae dushman se
chonch se koshish karke chhuDaya KHar ko us ke daman se
KHush ho ke rihai par us ki chiDiya ne kaha ai pyari sakhi
is bar to lale the jaan ke ye aai musibat thi kaisi
agar na hoti sath tere phir kaun bachata tha tujh ko
laTak laTak kar Tahni par hi mar jaana hota tujh ko
ehsan se ho kar la-parwa chuhiya ne us ko diya bayan
unh nak chhidane gai thi un mein marne lagi thi bhala kahan
na-shukri chuhiya ki dekho be-gharzi chiDiya ki dekho
ehsan ke badle ho mamnun na-shukron par ehsan karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.