chuhiya ki fariyaad
allah miyāñ maiñ tere sadqe
bekas kī fariyād tū sun le
mujh ko na de tū duudh malā.ī
mujh ko na de tū nān-ḳhatā.ī
laDDū peḌe barfī jalebī
kab haiñ ye qismat meñ merī
ek nivāla merī ġhizā hai
vo bhī nahīñ mujh ko miltā hai
is ghar meñ hai Dheroñ har shai
mere liye par kuchh bhī nahīñ hai
jaam murabbe chaTpaTī chīzeñ
band haiñ saarī almārī meñ
aaTe ke aur ghī ke kanastar
taale paḌe haiñ in meñ yaksar
hañDiyā rahtī hai chhīñke par
vo bhī merī pahuñch se bāhar
billī ke bhāgūñ chhiñkā TuuTe
mere bhāgoñ bartan jhūTe
merī qismat meñ hai likkhā
roTī kā bas sūkhā TukḌā
lekin ye TukḌā bhī ab to
mushkil se miltā hai mujh ko
ghar meñ chūhe-dān hai rakkhā
ek hai billī ek hai billā
jiinā huā hai mujh ko ajīran
maiñ huuñ akelī do do dushman
sog meñ rahtī huuñ maiñ har dam
khaa.e jaatā hai mujh ko ġham
chāñdnī dekho kaisī khulī hai
lo vo kahīñ Dholak bhī bajī hai
dard bhare hoñ dil meñ jab aise
tum hī kaho maiñ nāchūñ kaise
allah miyan main tere sadqe
bekas ki fariyaad tu sun le
mujh ko na de tu dudh malai
mujh ko na de tu nan-KHatai
laDDu peDe barfi jalebi
kab hain ye qismat mein meri
ek niwala meri ghiza hai
wo bhi nahin mujh ko milta hai
is ghar mein hai Dheron har shai
mere liye par kuchh bhi nahin hai
jam murabbe chaTpaTi chizen
band hain sari almari mein
aaTe ke aur ghi ke kanastar
tale paDe hain in mein yaksar
hanDiya rahti hai chhinke par
wo bhi meri pahunch se bahar
billi ke bhagun chhinka TuTe
mere bhagon bartan jhuTe
meri qismat mein hai likkha
roTi ka bas sukha TukDa
lekin ye TukDa bhi ab to
mushkil se milta hai mujh ko
ghar mein chuhe-dan hai rakkha
ek hai billi ek hai billa
jina hua hai mujh ko ajiran
main hun akeli do do dushman
sog mein rahti hun main har dam
khae jata hai mujh ko gham
chandni dekho kaisi khuli hai
lo wo kahin Dholak bhi baji hai
dard bhare hon dil mein jab aise
tum hi kaho main nachun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.