chuhe ne chhapa aKHbar
jañgal jañgal paḌī pukār
chūhe ne chhāpa aḳhbār
niile piile safhe chaar
tasvīreñ chālīs hazār
us par ḳhabroñ kī bhar-mār
ek ke uupar ek savār
rishte nātoñ ke jhagḌe
tote mainā kī takrār
phuul sajā.e bulbul ne
ḳhuub rahā mīnā-bāzār
bandar kī tasvīroñ par
shahd kī makkhī kī yalġhār
gīdaḌ ne elaan kiyā
sāras gayā samundar paar
zarrāfe kī gardan meñ
kheloñ kī ḳhabroñ ke haar
hāthī dañggal jiit gayā
sher chalā karne ko shikār
bakre dumbe aur hiran
khaḌe hue haiñ numbar-dār
koyal saa.e meñ ḳhush hai
bhaiñse garmī se bezār
mahñgā.ī meñ manda hai
bhālū seTh kā kārobār
lomaḌ kho gayā raste meñ
ammī roiiñ zār-o-zār
sahī muamma hal kar ke
bakrī jiitī pāñch hazār
lekin jañgal meñ kyā hai
gāhak aa.e bas do-chār
kutar kutar kar khā gayā āḳhir
chūhā sab raddī aḳhbār
chūhe ne chhāpa aḳhbār
jangal jangal paDi pukar
chuhe ne chhapa aKHbar
nile pile safhe chaar
taswiren chaalis hazar
us par KHabron ki bhar-mar
ek ke upar ek sawar
rishte naton ke jhagDe
tote maina ki takrar
phul sajae bulbul ne
KHub raha mina-bazar
bandar ki taswiron par
shahd ki makkhi ki yalghaar
gidaD ne elan kiya
saras gaya samundar par
zarrafe ki gardan mein
khelon ki KHabron ke haar
hathi danggal jit gaya
sher chala karne ko shikar
bakre dumbe aur hiran
khaDe hue hain numbar-dar
koyal sae mein KHush hai
bhainse garmi se bezar
mahngai mein manda hai
bhaalu seTh ka karobar
lomaD kho gaya raste mein
ammi roin zar-o-zar
sahi muamma hal kar ke
bakri jiti panch hazar
lekin jangal mein kya hai
gahak aae bas do-chaar
kutar kutar kar kha gaya aaKHir
chuha sab raddi aKHbar
chuhe ne chhapa aKHbar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.