chuhon ka shahr
chūhoñ ne ik shahr basāyā
behad ālī-shān
apne shahr kā naam unhoñ ne
rakkhā chūhistān
chūhistān kā naam sunā to
ḳhālid aur irfān
ik din ik billī ko le kar
pahuñche chūhistān
dekh ke billī ko chūhoñ ke
ḳhatā hue ausān
bhaag ga.e jab saare chūhe
chhoḌ ke chūhistān
le kar ḳhush ḳhush ghar ko lauTe
ḳhālid aur irfān
chūhistān ke godāmoñ meñ
thā jo bhī sāmān
chuhon ne ek shahr basaya
behad aali-shan
apne shahr ka nam unhon ne
rakkha chuhistan
chuhistan ka nam suna to
KHalid aur irfan
ek din ek billi ko le kar
pahunche chuhistan
dekh ke billi ko chuhon ke
KHata hue ausan
bhag gae jab sare chuhe
chhoD ke chuhistan
le kar KHush KHush ghar ko lauTe
KHalid aur irfan
chuhistan ke godamon mein
tha jo bhi saman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.