chumta pani, pani pani
phaTte irāde yaqīn musībat paañv dhulā.e
chashma ki hoñT shabīh-e-luāb mayassar raat anokhā sāneha ho jā.egā
maile kañval ke phuul Dubotā lipaT lipaT kar chūmtā pānī, paanī paanī
nadāmat se maġhlūb ḳharābī: madd-o-jazr maujūd tabī.at kā taḳhrīb tamāsha
murāja.at āñkhoñ se ojhal chhūtī bahātī be-tartīb azaab hai
harī-bharī bechārgī kaise? aks-e-shabāhat pankhuḌiyoñ kā
vo jo irāde kī tarkīb nahīñ pā saktā laraz rahā hai
phuul tashaddud ḳhauf meñ ġharq-e-harārat Dūbtī ubhartī patiyāñ
keñchulī utre to baat bane maiñ kah duuñ? kar guzrūñ?
a.asāb tashannuj phailtī be-ruḳh bātoñ kī tardīd-e-qayāmat kar bhī chuko
ye hādsa dā.era sā ye simaTtā phailtā sarpaT bhāgte qadmoñ kī lū par jal-bhun raakh ho
sho.ala thiraktā riiḌh kī haDDī se maġhz ke hukm-e-salāsil chāTtā
din paane kī laġhzish kar le kar hī le majbūrī aa letī hai
chau-gard kī gardish raakh qarīne kī yakjā.ī tamsīl-e-ba-zāhir kī tā.īd meñ rakhtī hai
uñgliyāñ uñgliyāñ, bāteñ bāteñ, pasīna pasīna baaqī baaqī
aur bechārgī
tāham to ye tayaqqun tark-e-taġhāful Thahre
qaul qayāmat aane ke jatan kare taqrīb-e-tamāsha DhūñDe
chhupī rahe, taḌpā.e, taḌpe
phaTte irade yaqin musibat panw dhulae
chashma ki honT shabih-e-luab mayassar raat anokha saneha ho jaega
maile kanwal ke phul Dubota lipaT lipaT kar chumta pani, pani pani
nadamat se maghlub KHarabi: madd-o-jazr maujud tabiat ka taKHrib tamasha
murajat aankhon se ojhal chhuti bahati be-tartib azab hai
hari-bhari bechaargi kaise? aks-e-shabahat pankhuDiyon ka
wo jo irade ki tarkib nahin pa sakta laraz raha hai
phul tashaddud KHauf mein gharq-e-hararat Dubti ubharti patiyan
kenchuli utre to baat bane main kah dun? kar guzrun?
aasab tashannuj phailti be-ruKH baaton ki tardid-e-qayamat kar bhi chuko
ye hadsa daera sa ye simaTta phailta sarpaT bhagte qadmon ki lu par jal-bhun rakh ho
shoala thirakta riDh ki haDDi se maghz ke hukm-e-salasil chaTta
din pane ki laghzish kar le kar hi le majburi aa leti hai
chau-gard ki gardish rakh qarine ki yakjai tamsil-e-ba-zahir ki taid mein rakhti hai
ungliyan ungliyan, baaten baaten, pasina pasina baqi baqi
aur bechaargi
taham to ye tayaqqun tark-e-taghaful Thahre
qaul qayamat aane ke jatan kare taqrib-e-tamasha DhunDe
chhupi rahe, taDpae, taDpe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.