chyunTiyan
chyūñTiyāñ zamīn par kitne kos chaltī hoñgī
aur kitnī hamāre pairoñ tale aa kar masal jaatī hoñgī
is kā shumār nahīñ
lekin jab ye hamāre badan par chaltī haiñ
to ham unheñ gin sakte haiñ
in kī masāfat kā andāza lagā sakte haiñ
tum apne badan par kāTtī chyūñTī ko
kaise alag karte ho
ye chyūñTī batā saktī hai
yā is ke TuuTe hue a.azā
tum chiyūñTiyoñ ke gharoñ ke baare meñ
is se zyāda nahīñ jaan sakte
ki vo darvāzoñ kī rīḳhoñ
yā dīvāroñ kī darāḌoñ meñ rahtī haiñ
yā raat bhar chaltī rahtī haiñ
lekin tum ye nahīñ jaan sakte
ye kahāñ mil baiThtī haiñ
kahāñ ḳhufiya mētingeñ kartī haiñ
lekin jab tum shahd ke martabān shakar ke Dabbe
yā gosht ke TukḌe kī tarah
in ke khāne kā zaḳhīra ban jāoge
to vo an-ginat jam.a ho kar
tumhāre an-ginat TukḌoñ ko aapas meñ baañT leñgī
aur tumheñ darvāze kī rīḳhoñ
aur dīvāroñ kī darāḌoñ ke andarūnī hisse dikhā.eñgī
aur vo goshe bhī
jahāñ unhoñ ne ḳhufiya mētingeñ kī thiiñ
chyunTiyan zamin par kitne kos chalti hongi
aur kitni hamare pairon tale aa kar masal jati hongi
is ka shumar nahin
lekin jab ye hamare badan par chalti hain
to hum unhen gin sakte hain
in ki masafat ka andaza laga sakte hain
tum apne badan par kaTti chyunTi ko
kaise alag karte ho
ye chyunTi bata sakti hai
ya is ke TuTe hue aaza
tum chiyunTiyon ke gharon ke bare mein
is se zyaada nahin jaan sakte
ki wo darwazon ki riKHon
ya diwaron ki daraDon mein rahti hain
ya raat bhar chalti rahti hain
lekin tum ye nahin jaan sakte
ye kahan mil baiThti hain
kahan KHufiya meetingen karti hain
lekin jab tum shahd ke martaban shakar ke Dabbe
ya gosht ke TukDe ki tarah
in ke khane ka zaKHira ban jaoge
to wo an-ginat jama ho kar
tumhaare an-ginat TukDon ko aapas mein banT lengi
aur tumhein darwaze ki riKHon
aur diwaron ki daraDon ke andaruni hisse dikhaengi
aur wo goshe bhi
jahan unhon ne KHufiya meetingen ki thin
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 242)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.