cigarette
maiñ ki ik aur guzarte hue pal ke hamrāh
apnī ḳhushbū meñ basā
aap hī aap sulagtā huā kāġhaz kā vajūd
haath phailā ke kisī raakh se aTte hue bartan meñ masal detā huuñ
raakh ke Dher pe kuchh der ko ruktā hai dhuāñ
vo siyah-posh vajūd
mujh se kahtā hai ke tum vaqt kā andāz liye ho lekin
vaqt jo roz na jaane kitne
dhīme ḳhāmosh sulagte hue insānoñ ko
ḳhaak ke baar tale yūñhī masal detā hai
vaqt ko haath ke phailāne kī hājat bhī nahīñ
main ki ek aur guzarte hue pal ke hamrah
apni KHushbu mein basa
aap hi aap sulagta hua kaghaz ka wajud
hath phaila ke kisi rakh se aTte hue bartan mein masal deta hun
rakh ke Dher pe kuchh der ko rukta hai dhuan
wo siyah-posh wajud
mujh se kahta hai ke tum waqt ka andaz liye ho lekin
waqt jo roz na jaane kitne
dhime KHamosh sulagte hue insanon ko
KHak ke bar tale yunhi masal deta hai
waqt ko hath ke phailane ki hajat bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.