cigarette
jis tarah hasratoñ ke marghaT meñ
dhīre dhīre sulag rahā ho dhuāñ
jis tarah ho kisī sitāre par
ek bujhte hue diye kā gumāñ
jis tarah miT rahī ho ban ban kar
yās-angez vaqt kī tahrīr
is tarah tere surḳh hoñToñ par
kāñptī hai ghane dhueñ kī lakīr
khelte haiñ fazā kī sāñsoñ se
nanhe nanhe tilismī mar gole
halke niile dhueñ kī lahroñ se
Dhulne lagtī hai gard rañj-o-mehan
tere har ek kash kī talḳhī meñ
Duub jaatī hai zindagī kī thakan
hashr-sāmāniyāñ tafakkur kī
jab bhī letī haiñ dil meñ añgḌā.ī
tujh ko rah rah ke yaad kartī hai
shām-e-ġham kī udaas tanhā.ī
ye to sab kuchh durust hai lekin
aaj kī raat maiñ akelā huuñ
band kamra hai aur ḳhāmoshī
hādse kar rahe haiñ merī talāsh
zehan ko Das rahī hai fikr-e-ma.āsh
kyā karūñ kyā karūñ kidhar jā.ūñ
tujh se kis tarah dil ko bahlā.ūñ
sochtā huuñ ki ġharq ho jā.ūñ
tere kaḌve dhueñ kī ḳhushbū meñ
lekin aisā bhī ho nahīñ saktā
tere kaḌve dhueñ kī ḳhushbū meñ
ġham kā ehsās kho nahīñ saktā
tū mire ġham ko kyā miTā.egā
tū bhī merī tarah hai shoa.la-fishāñ
mere siine meñ jal rahī hai aag
tere siine se uTh rahā hai dhuāñ
mere dil meñ bhī soz paltā hai
maiñ bhī jaltā huuñ tū bhī jaltā hai
jis tarah hasraton ke marghaT mein
dhire dhire sulag raha ho dhuan
jis tarah ho kisi sitare par
ek bujhte hue diye ka guman
jis tarah miT rahi ho ban ban kar
yas-angez waqt ki tahrir
is tarah tere surKH honTon par
kanpti hai ghane dhuen ki lakir
khelte hain faza ki sanson se
nanhe nanhe tilismi mar gole
halke nile dhuen ki lahron se
Dhulne lagti hai gard ranj-o-mehan
tere har ek kash ki talKHi mein
Dub jati hai zindagi ki thakan
hashr-samaniyan tafakkur ki
jab bhi leti hain dil mein angDai
tujh ko rah rah ke yaad karti hai
sham-e-gham ki udas tanhai
ye to sab kuchh durust hai lekin
aaj ki raat main akela hun
band kamra hai aur KHamoshi
hadse kar rahe hain meri talash
zehan ko Das rahi hai fikr-e-maash
kya karun kya karun kidhar jaun
tujh se kis tarah dil ko bahlaun
sochta hun ki gharq ho jaun
tere kaDwe dhuen ki KHushbu mein
lekin aisa bhi ho nahin sakta
tere kaDwe dhuen ki KHushbu mein
gham ka ehsas kho nahin sakta
tu mere gham ko kya miTaega
tu bhi meri tarah hai shoala-fishan
mere sine mein jal rahi hai aag
tere sine se uTh raha hai dhuan
mere dil mein bhi soz palta hai
main bhi jalta hun tu bhi jalta hai
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 25)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.