circus aaya
aḳhbāroñ ne shor machāyā
circus aayā circus aayā
phir circus kī dhuum machī hai
shohrat us kī ḳhuub huī hai
galiyoñ galiyoñ shor hai us kā
har jānib phir zor hai us kā
ghar ghar hai circus kā charchā
machal paḌā hai bachcha bachcha
aao bachcho circus dekheñ
ab ke kitnā hai ras dekheñ
kaun hai kitnā chaukas ab ke
kaun hai kitnā bebas ab ke
suiT pahan kar hāthī aa.e
ghoḌe ban kar sāthī aa.e
hirnī bhī saj dhaj ke aa.ī
aa kar dūlhan sī sharmā.ī
car chalāte chīte dekho
signal dete tote dekho
dance gad.he dikhlāne aa.e
TaTTū band bajāne aa.e
sher pe bakrī jhapaT rahī hai
taḳhta us kā ulaT rahī hai
chūhe ne bandūq chalā.ī
dekh ke billī bhī ghabrā.ī
bandar cricket khel rahe haiñ
rīchh kī bating jhel rahe haiñ
joker kā make-up to dekho
lutf bharī gap-shap to dekho
kaise sab ko hañsā rahe haiñ
kyā kyā kartab dikhā rahe haiñ
jump lagāte ḳhuub ye laḌke
nahīñ zarā bhī maut se Darte
fan meñ har laḌkī hai māhir
aag se guzrī peT kī ḳhātir
na.e na.e jab kartab dekho
ḳhuub bajāo taalī bachcho
khel anokhā hai circus kā
kaam nahīñ ye sab ke bas kā
Tolī ye fankāroñ kī hai
daad 'farāġh' uncle se lī hai
aKHbaron ne shor machaya
circus aaya circus aaya
phir circus ki dhum machi hai
shohrat us ki KHub hui hai
galiyon galiyon shor hai us ka
har jaanib phir zor hai us ka
ghar ghar hai circus ka charcha
machal paDa hai bachcha bachcha
aao bachcho circus dekhen
ab ke kitna hai ras dekhen
kaun hai kitna chaukas ab ke
kaun hai kitna bebas ab ke
suiT pahan kar hathi aae
ghoDe ban kar sathi aae
hirni bhi saj dhaj ke aai
aa kar dulhan si sharmai
car chalate chite dekho
signal dete tote dekho
dance gadhe dikhlane aae
TaTTu band bajaane aae
sher pe bakri jhapaT rahi hai
taKHta us ka ulaT rahi hai
chuhe ne banduq chalai
dekh ke billi bhi ghabrai
bandar cricket khel rahe hain
richh ki bating jhel rahe hain
joker ka make-up to dekho
lutf bhari gap-shap to dekho
kaise sab ko hansa rahe hain
kya kya kartab dikha rahe hain
jump lagate KHub ye laDke
nahin zara bhi maut se Darte
fan mein har laDki hai mahir
aag se guzri peT ki KHatir
nae nae jab kartab dekho
KHub bajao tali bachcho
khel anokha hai circus ka
kaam nahin ye sab ke bas ka
Toli ye fankaron ki hai
dad 'faragh' uncle se li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.