circus
bachcho circus aayā hai
ghar ghar us kā charchā hai
hāthī chīte bandar sab
kartab dikhlā.eñge ab
circus fan kā zariya hai
ḳhushiyoñ kā ik relā hai
chārlī sher se khele hai
mushkil kaisī jhele hai
bachcho circus kaisā hai
achchhā khel-tamāshā hai
'hāfiz' circus dekheñ aao
afsurda ho dil bahlāo
bachcho circus aaya hai
ghar ghar us ka charcha hai
hathi chite bandar sab
kartab dikhlaenge ab
circus fan ka zariya hai
KHushiyon ka ek rela hai
chaarli sher se khele hai
mushkil kaisi jhele hai
bachcho circus kaisa hai
achchha khel-tamasha hai
'hafiz' circus dekhen aao
afsurda ho dil bahlao
- Book : Zamzame (Pg. 179)
- Author : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd)
- Publication : Amjad Hussain Hafiz Karnatki (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.