circus mein naukri ka aaKHiri din
le chabā ye sar
jo ab jabḌoñ meñ hai tere
agar tū vāqa.ī meñ sher hai to
sher ban kar aaj dikhlā de
mujhe joker samajhtā thā
are maiñ to faqat is peT kī ḳhātir
hañsāne ke liye sab ko
tere jabḌoñ meñ sar dene se pahle bhaag jaatā thā
mujhe is khel kī tanḳhvāh miltī thī
yahī kirdār circus meñ mire hisse meñ aayā thā
magar maiñ aaj tujh ko dekh lūñgā
dikhā dūñgā zamāne ko ki buzdil maiñ nahīñ buzdil tū hai
le chabā
ab jokaroñ sā
muñh ko phāḌe kyuuñ khaḌā hai
le chaba ye sar
jo ab jabDon mein hai tere
agar tu waqai mein sher hai to
sher ban kar aaj dikhla de
mujhe joker samajhta tha
are main to faqat is peT ki KHatir
hansane ke liye sab ko
tere jabDon mein sar dene se pahle bhag jata tha
mujhe is khel ki tanKHwah milti thi
yahi kirdar circus mein mere hisse mein aaya tha
magar main aaj tujh ko dekh lunga
dikha dunga zamane ko ki buzdil main nahin buzdil tu hai
le chaba
ab jokaron sa
munh ko phaDe kyun khaDa hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 129)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.