coffee cup reading
use message to bhejā hai
ki coffē par milo mujh se
vo aa jā.egī to achchhā
maiñ pahle sirf do coffē mañgāūñgā
maiñ cappucino piitā huuñ
vo kaisī coffē piitī hai
is kā andāza to us ke aane par hogā
hamāre paas to bāteñ bhī kam haiñ
so coffē jald p leñge
jo us ke cup meñ thoḌā jhaag coffē kā bachā hogā
maiñ us kī shape ko paḌh kar use future batā.uñgā
batā.ūñgā use maiñ
kaise vo mujh jaise ik laḌke kī duniyā ko badal degī
use ma.alūm hogā kyā ki coffē cup kī reading kā tarīqa ye nahīñ hotā?
maiñ cafe aa chukā huuñ
vo bhī raste meñ kahīñ hogī
bahut se log cafe aa ke paḌhte likhte rahte haiñ
mohammad 'alvī kī nazmeñ to maiñ bhī saath laayā huuñ
ye hogā to nahīñ phir bhī vo aa.ī hī nahīñ to phir
inhīñ logoñ ke jaise maiñ bhī paḌh kar vaqt kāTūñgā
use aane meñ derī ho rahī hai
maiñ ik coffē to tanhā p chukā huuñ
zarā sā jhaag cup meñ hai jise dekho to lagtā hai
ki ik laḌkā akelā baiTh kar kuchh paḌh rahā hai
tasallī de rahā huuñ ab maiñ ḳhud ko
ye merī shaam kā future nahīñ hai
ki coffē cup kī reading kā tarīqa ye nahīñ hotā
use message to bheja hai
ki coffee par milo mujh se
wo aa jaegi to achchha
main pahle sirf do coffee mangaunga
main cappucino pita hun
wo kaisi coffee piti hai
is ka andaza to us ke aane par hoga
hamare pas to baaten bhi kam hain
so coffee jald p lenge
jo us ke cup mein thoDa jhag coffee ka bacha hoga
main us ki shape ko paDh kar use future bataunga
bataunga use main
kaise wo mujh jaise ek laDke ki duniya ko badal degi
use malum hoga kya ki coffee cup ki reading ka tariqa ye nahin hota?
main cafe aa chuka hun
wo bhi raste mein kahin hogi
bahut se log cafe aa ke paDhte likhte rahte hain
mohammad 'alwi ki nazmen to main bhi sath laya hun
ye hoga to nahin phir bhi wo aai hi nahin to phir
inhin logon ke jaise main bhi paDh kar waqt kaTunga
use aane mein deri ho rahi hai
main ek coffee to tanha p chuka hun
zara sa jhag cup mein hai jise dekho to lagta hai
ki ek laDka akela baiTh kar kuchh paDh raha hai
tasalli de raha hun ab main KHud ko
ye meri sham ka future nahin hai
ki coffee cup ki reading ka tariqa ye nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.