coffee-house
din-bhar coffē-house meñ baiThe kuchh duble-patle naqqād
bahs yahī karte rahte haiñ sust adab kī hai raftār
sirf adab ke ġham meñ ġhaltāñ chalne phirne se lāchār
chehroñ se zāhir hotā hai jaise barsoñ ke bīmār
urdu-adab meñ Dhaa.ī haiñ shā.er 'mīr' o 'ġhālib' aadhā 'josh'
yā ik-ādh kisī kā misra yā 'iqbāl' ke chand ash.ār
yā phir nazm hai ik chūhe par hāmid-'madnī' kā shahkār
koī nahīñ hai achchhā shā.er koī nahīñ afsāna-nigār
'manTo' 'kirshn' 'nadīm' aur 'bedī' in meñ jaan to hai lekin
aib ye hai in ke hāthoñ meñ kund zabāñ kī hai talvār
'ālī' afsar 'inshā' baabū 'nāsir' 'mīr' ke bar-ḳhurdār
'faiz' ne jo ab tak likkhā hai kyā likkhā hai sab be-kār
un ko adab kī sehhat kā ġham mujh ko un kī sehhat kā
ye bechāre dukh ke maare jiine se haiñ kyuuñ be-zār
husn se vahshat ishq se nafrat apnī hī sūrat se pyaar
ḳhanda-e-gul par ek tabassum girya-e-shabnam se inkār
din-bhar coffee-house mein baiThe kuchh duble-patle naqqad
bahs yahi karte rahte hain sust adab ki hai raftar
sirf adab ke gham mein ghaltan chalne phirne se lachaar
chehron se zahir hota hai jaise barson ke bimar
urdu-adab mein Dhai hain shaer 'mir' o 'ghaalib' aadha 'josh'
ya ik-adh kisi ka misra ya 'iqbaal' ke chand ashaar
ya phir nazm hai ek chuhe par hamid-'madni' ka shahkar
koi nahin hai achchha shaer koi nahin afsana-nigar
'manTo' 'kirshn' 'nadim' aur 'bedi' in mein jaan to hai lekin
aib ye hai in ke hathon mein kund zaban ki hai talwar
'ali' afsar 'insha' babu 'nasir' 'mir' ke bar-KHurdar
'faiz' ne jo ab tak likkha hai kya likkha hai sab be-kar
un ko adab ki sehhat ka gham mujh ko un ki sehhat ka
ye bechaare dukh ke mare jine se hain kyun be-zar
husn se wahshat ishq se nafrat apni hi surat se pyar
KHanda-e-gul par ek tabassum girya-e-shabnam se inkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.