commercial street ki ek sham
huā hai qatl abhī āftāb-e-mashriq kā
bikhar ga.ī hai har ik samt ḳhuun kī surḳhī
ye rahguzār ki bahtā hai nuur kā dariyā
gudāz jism se uḌtī haiñ bhīnī ḳhushbūeñ
na.ī tarāsh ke malbūs meñ hasīñ joḌe
chamaktī caroñ se aa aa ke yuuñ utarte haiñ
navāzte hoñ qadam rakh ke jaise dhartī ko
har ek dil meñ uchhaltā hai aarzū kā lahū
Thahar gayā hai subuk-gām kārvān-e-hayāt
paḌī hai paañv meñ zanjīr dil-farebī kī
talāsh-e-husn-o-mudāvā-e-zaḳhm-e-dil ke liye
churā ke laa.e haiñ do-chār lamhe duniyā se
yahāñ to koī nahīñ ranj-o-ġham meñ ālūda
har ek chehra to phūloñ kī tarh taaza hai
maiñ muskurā ke galī se nikal na paayā thā
mire zamīr ne chupke se ye kahā mujh se
isī galī meñ kahīñ kho gayā huuñ maiñ DhūñDo
hua hai qatl abhi aaftab-e-mashriq ka
bikhar gai hai har ek samt KHun ki surKHi
ye rahguzar ki bahta hai nur ka dariya
gudaz jism se uDti hain bhini KHushbuen
nai tarash ke malbus mein hasin joDe
chamakti caron se aa aa ke yun utarte hain
nawazte hon qadam rakh ke jaise dharti ko
har ek dil mein uchhalta hai aarzu ka lahu
Thahar gaya hai subuk-gam karwan-e-hayat
paDi hai panw mein zanjir dil-farebi ki
talash-e-husn-o-mudawa-e-zaKHm-e-dil ke liye
chura ke lae hain do-chaar lamhe duniya se
yahan to koi nahin ranj-o-gham mein aaluda
har ek chehra to phulon ki tarh taza hai
main muskura ke gali se nikal na paya tha
mere zamir ne chupke se ye kaha mujh se
isi gali mein kahin kho gaya hun main DhunDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.