Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

control

Shaukat Pardesi

control

Shaukat Pardesi

MORE BYShaukat Pardesi

    kuchh soch kar udaas na ho control hai

    ab shab ko der tak na paḌho control hai

    bistar se uTh ke muñh bhī na dho control hai

    ab nāshte naam na lo control hai

    khāne meñ ehtiyāt karo control hai

    bachpan badal gayā hai javānī badal ga.ī

    pariyoñ ke des vo kahānī badal ga.ī

    raaja haal dekh ke raanī badal ga.ī

    sapnoñ ke saath saath chalo control hai

    khāne meñ ehtiyāt karo control hai

    ab duudh aur ghī zamāna muhāl hai

    guzrī huī hayāt aanā muhāl hai

    sapnoñ meñ bhī miThā.ī khānā muhāl hai

    ab roz guḌ chaa.e piyo control hai

    khāne meñ ehtiyāt karo control hai

    yārab tire karam meñ taġhayyur ye kyuuñ huā

    baḳhshī jo ne mulk ko ye modern sazā

    batā ki chhoḌ ke gandum ko khā.eñ kyā

    kyā terī rahmatoñ badal control hai

    khāne meñ ehtiyāt phal control hai

    kuchh soch kar udas na ho control hai

    ab shab ko der tak na paDho control hai

    bistar se uTh ke munh bhi na dho control hai

    ab nashte ka nam na lo control hai

    khane mein ehtiyat karo control hai

    bachpan badal gaya hai jawani badal gai

    pariyon ke des ki wo kahani badal gai

    raja ka haal dekh ke rani badal gai

    sapnon ke sath sath chalo control hai

    khane mein ehtiyat karo control hai

    ab dudh aur ghi ka zamana muhaal hai

    guzri hui hayat ka aana muhaal hai

    sapnon mein bhi miThai ka khana muhaal hai

    ab roz guD ki chae piyo control hai

    khane mein ehtiyat karo control hai

    yarab tere karam mein taghayyur ye kyun hua

    baKHshi jo tu ne mulk ko ye modern saza

    tu hi bata ki chhoD ke gandum ko khaen kya

    kya teri rahmaton ka badal control hai

    khane mein ehtiyat ka phal control hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now