Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

cricket match

Haidar Bayabani

cricket match

Haidar Bayabani

MORE BYHaidar Bayabani

    khelne aa.e donoñ cricket bandar hāthī

    un ke pīchhe the jañgal ke saare sāthī

    captain thā ik team hāthī mast qalandar

    dūsrī team captain ban baiThā thā bandar

    bandar ye the qismat vaale jiite toss

    fauran chīte ko bulvāyā apne paas

    open karne ik jānib se aayā sher

    josh meñ aa kar lagāyā us ne ranoñ Dher

    ik over meñ banā gayā vo sola ran

    satrah geñdoñ meñ ran us ke sattāvan

    is paarī meñ dhuum dhaḌkā machā gayā vo

    chaa.e se pahle double century banā gayā vo

    dekh ke apnī team durgat hāthī chauñkā

    ḳhud karne bolling kavar se aayā dauḌā

    pahlī ball chīte ke stump ko maarā

    dūsrī ball meñ sher dressing room sidhārā

    tīsrī ball pe sāñbhar ne catch diyā

    chauthī ball pe rīchh bechārā bold huā

    ik over meñ chaar wicket the zero ran

    hāthī ne record banā Daalā a-one

    ek inning meñ aaTh wicket kēper ke catch

    nanhā ḳhargosh huā man of match

    do sau biis pe bandar team all out

    pahle roz machhandar team all out

    dūsre din hāthī ke utre balle-bāz

    balle-bāzī meñ lekin na the mumtāz

    bandar ne follow-ān sheḳhī maarī

    sochā ḳhatm kareñge un jaldī paarī

    hāthī aayā do sāthī out hone par

    vo chakrāyā apnī do wicketeñ khone par

    hāthī ke aane se paarī sambhal ga.ī thī

    vaise bhī ab pitch hālat badal ga.ī thī

    hāthī aayā chauke chhakke maarā ḳhuub

    bandar dauḌā idhar udhar bechāra ḳhuub

    tiin sau terah banā ke hāthī not out thā

    apne kartab dikhā ke hāthī not out thā

    do wicketoñ pe lagā thā chhe sau ranoñ Dher

    phir paarī declare karne meñ kyā der

    dūsrī paarī meñ bandar uḌī hañsī

    assī ran banā ke puurī team ga.ī

    tiin sau ran aur das wicketoñ se maat huī

    jiit huī hāthī ūñchī baat huī

    khelne aae donon cricket bandar hathi

    un ke pichhe the jangal ke sare sathi

    captain tha ek team ka hathi mast qalandar

    dusri team ka captain ban baiTha tha bandar

    bandar ye the qismat wale jite toss

    fauran chite ko bulwaya apne pas

    open karne ek jaanib se aaya sher

    josh mein aa kar lagaya us ne ranon ka Dher

    ek ower mein bana gaya wo sola ran

    satrah gendon mein ran us ke sattawan

    is pari mein dhum dhaDka macha gaya wo

    chae se pahle double century bana gaya wo

    dekh ke apni team ki durgat hathi chaunka

    KHud karne bolling kawar se aaya dauDa

    pahli ball hi chite ke stump ko mara

    dusri ball mein sher dressing room sidhaara

    tisri ball pe sanbhar ji ne catch diya

    chauthi ball pe richh bechaara bold hua

    ek ower mein chaar wicket the zero ran

    hathi ne record bana Dala a-one

    ek inning mein aaTh wicket keeper ke catch

    nanha sa KHargosh hua man of di match

    do sau bis pe bandar ji ki team all out

    pahle roz machhandar ji ki team all out

    dusre din hathi ke utre balle-baz

    balle-bazi mein lekin na the mumtaz

    bandar ji ne follow-an ki sheKHi mari

    socha KHatm karenge un ki jaldi pari

    hathi aaya do sathi out hone par

    wo chakraya apni do wicketen khone par

    hathi ke aane se pari sambhal gai thi

    waise bhi ab pitch ki haalat badal gai thi

    hathi aaya chauke chhakke mara KHub

    bandar dauDa idhar udhar bechaara KHub

    tin sau terah bana ke hathi not out tha

    apne kartab dikha ke hathi not out tha

    do wicketon pe laga tha chhe sau ranon ka Dher

    phir pari declare karne mein kya der

    dusri pari mein bandar ki uDi hansi

    assi hi ran bana ke puri team gai

    tin sau ran aur das wicketon se mat hui

    jit hui hathi ki unchi baat hui

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now