curfew
aaj shab bāhar na niklo
chal rahī haiñ har-taraf
ḳhūnī havā.eñ
nafratoñ ke chhā ga.e haiñ abr har-sū
vahshatoñ kā hai añdherā
khiḌkiyoñ ko band kar do
un pe ehsāsāt ke parde
chaḌhā do
mez se aḳhlāq ke kāġhaz haTā do
phaaḌ do
insāniyat kī sab kitābeñ
ilm kī sham.eñ bujhā do
band kar lo uñgliyoñ se kaan apne
shāhrāheñ chīḳhtī haiñ
har galī kūche se aaheñ aa rahī haiñ
phir rahe haiñ har taraf
ḳhūnī darinde
apne kamre ko ḳhud apnī qabr samjho
aaj shab bāhar na niklo
aaj shab bahar na niklo
chal rahi hain har-taraf
KHuni hawaen
nafraton ke chha gae hain abr har-su
wahshaton ka hai andhera
khiDkiyon ko band kar do
un pe ehsasat ke parde
chaDha do
mez se aKHlaq ke kaghaz haTa do
phaD do
insaniyat ki sab kitaben
ilm ki shamen bujha do
band kar lo ungliyon se kan apne
shahrahen chiKHti hain
har gali kuche se aahen aa rahi hain
phir rahe hain har taraf
KHuni darinde
apne kamre ko KHud apni qabr samjho
aaj shab bahar na niklo
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 78)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.