bad-hali ki KHud-nawisht
merī paidā.ish par
qarz-ḳhvāhoñ ne jashn manāyā
mujhe
pī l 480 ke dāna-e-gandum se baptisma diyā gayā
aur
imdād meñ milne vaale ḳhushk duudh se merī parvarish kī ga.ī
mujhe
polio kī ja.alī qatre pilā.e ga.e
aur
kāñdhe par jāñ-nashīnī kī chādar Daal kar
mujhe
būḌhe vāldain aur chhoTe bahan bhā.iyoñ kā kafīl muqarrar kiyā gayā
ab
maiñ world bank kā mahbūb
aur
aa.ī m ef kā shahzāda huuñ
asian Development bank
merī dastār-bandī ke liye betāb hai
u s aiD vaale
mujhe apnā rozī-rasāñ samajhte haiñ
maiñ maqrūz paidā huā thā
aur maqrūz hī marūñgā
merī duty
ab faqat chhe saat maqrūz paidā karnā
taaki
is sārif ma.āshre meñ apnā tashaḳhḳhus barqarār rakh sakūñ
mujhe
an-paḌh hone kī sanad-e-imtiyāz atā kī ga.ī
taaki maiñ
apne huqūq kī yād-dāsht tahrīr na kar sakūñ
mujhe
intiḳhābāt ke din chhuTTī bhī na dī ga.ī
taaki
maiñ
apnā vote apnī taqdīr ke haq meñ na Daal sakūñ
meri paidaish par
qarz-KHwahon ne jashn manaya
mujhe
pi l 480 ke dana-e-gandum se baptisma diya gaya
aur
imdad mein milne wale KHushk dudh se meri parwarish ki gai
mujhe
polio ki jali qatre pilae gae
aur
kandhe par jaan-nashini ki chadar Dal kar
mujhe
buDhe waldain aur chhoTe bahan bhaiyon ka kafil muqarrar kiya gaya
ab
main world bank ka mahbub
aur
aai m ef ka shahzada hun
asian Dewelopment bank
meri dastar-bandi ke liye betab hai
u s aiD wale
mujhe apna rozi-rasan samajhte hain
main maqruz paida hua tha
aur maqruz hi marunga
meri duty
ab faqat chhe sat maqruz paida karna
taki
is sarif maashre mein apna tashaKHKHus barqarar rakh sakun
mujhe
an-paDh hone ki sanad-e-imtiyaz ata ki gai
taki main
apne huquq ki yaad-dasht tahrir na kar sakun
mujhe
intiKHabaat ke din chhuTTi bhi na di gai
taki
main
apna wote apni taqdir ke haq mein na Dal sakun
- Book : Duniyazad (Pg. 156)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.