pardes ka shahr
ye surma.ī bādaloñ ke saa.e
ye shaam kī taaza taaza sī rut
ye gāḌiyoñ kī ka.ī qatāreñ
ye baaġh meñ sair karte joḌe
ye bachchoñ ke qahqahe surīle
vo duur se koktī koyaliyā
ye aks paanī meñ bijliyoñ kā
chahār jānib hai shādmānī
magar maiñ huuñ be-qarār muztar
nahīñ hai us shahr meñ mirā ghar
ye surmai baadalon ke sae
ye sham ki taza taza si rut
ye gaDiyon ki kai qataren
ye bagh mein sair karte joDe
ye bachchon ke qahqahe surile
wo dur se kokti koyaliya
ye aks pani mein bijliyon ka
chahaar jaanib hai shadmani
magar main hun be-qarar muztar
nahin hai us shahr mein mera ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.