wo aurat thi
ḳhalā kī mushkilāt apnī jagah qaa.em thiiñ aur duniyā
ujaḌtī bharbharī banjar zamīnoñ kī nishānī thī
sitāre surḳh the aur chāñd sūraj par añdheroñ kā baserā thā
daraḳhtoñ par parindoñ kī jagah vīrāniyoñ ke ghoñsle hote
zamīñ kī kokh meñ bas thuur thā aur ḳhaar ugte the
havā ko saañs lene meñ bahut dushvāriyāñ hotīñ
to phir us nuur vaale ne koī lauh-e-anāra bhej dī shāyad
añdhere raushnī pe kis tarah īmān le aa.e
balā.eñ kis tarah pariyoñ kī sūrat meñ chalī aa.iiñ
ye kis naural suvaibā kī ḳhudā taḳhlīq kar baiThā
ye narmī dilbarī sharm-o-hayā taḳhlīq kar baiThā
vo naural vo suvaibā jis kī ḳhātir āsmāñ se rañg utre the
vo jis ke dam se duniyā par nazākat kā vajūd aayā
ḳhudā-e-ḳhalq ne naural se pahle hī havas taḳhlīq kar dī thī
nazākat tak havas kī dastaras taḳhlīq kar dī thī
hazāroñ saal guzre haiñ magar fitrat nahīñ badlī
nigāheñ ab bhī bhūkī haiñ ki jaise khā hī jā.eñgī
havas-zādoñ ne kaise nuur se muñh par malī kālak
har ik rishta zarūrat ke mutābiq kis liye badlā
havas-zādoñ badan-ḳhoro zarā sī sharm farmāo
vo naural vo suvaibā raushnī kā isti.āra thī
kabhī havvā kabhī mariyam kabhī lauhe-anāra thī
vo aurat thī
KHala ki mushkilat apni jagah qaem thin aur duniya
ujaDti bharbhari banjar zaminon ki nishani thi
sitare surKH the aur chand suraj par andheron ka basera tha
daraKHton par parindon ki jagah viraniyon ke ghonsle hote
zamin ki kokh mein bas thur tha aur KHar ugte the
hawa ko sans lene mein bahut dushwariyan hotin
to phir us nur wale ne koi lauh-e-anara bhej di shayad
andhere raushni pe kis tarah iman le aae
balaen kis tarah pariyon ki surat mein chali aain
ye kis naural suwaiba ki KHuda taKHliq kar baiTha
ye narmi dilbari sharm-o-haya taKHliq kar baiTha
wo naural wo suwaiba jis ki KHatir aasman se rang utre the
wo jis ke dam se duniya par nazakat ka wajud aaya
KHuda-e-KHalq ne naural se pahle hi hawas taKHliq kar di thi
nazakat tak hawas ki dastaras taKHliq kar di thi
hazaron sal guzre hain magar fitrat nahin badli
nigahen ab bhi bhuki hain ki jaise kha hi jaengi
hawas-zadon ne kaise nur se munh par mali kalak
har ek rishta zarurat ke mutabiq kis liye badla
hawas-zadon badan-KHoro zara si sharm farmao
wo naural wo suwaiba raushni ka istiara thi
kabhi hawwa kabhi mariyam kabhi lauhe-anara thi
wo aurat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.