patton ke sae
shaam ke Dhalte utarne ke liye koshāñ
huā kartī hai jab jab maḳhmalīñ shab
baaġh ke atrāf phaile sab gharoñ kī batiyāñ
jaltī haiñ ik ke ba.ad ik ik
aise meñ pattoñ ke saa.e khiḌkiyoñ ke lambe shīshoñ par
sameTe apnā saarā husn mujh ko dekh kar goyā
ḳhushī se muskurāte haiñ jahān-e-dil sajāte haiñ
sham ke Dhalte utarne ke liye koshan
hua karti hai jab jab maKHmalin shab
bagh ke atraf phaile sab gharon ki batiyan
jalti hain ek ke baad ek ek
aise mein patton ke sae khiDkiyon ke lambe shishon par
sameTe apna sara husn mujh ko dekh kar goya
KHushi se muskuraate hain jahan-e-dil sajate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.