dadi amman
daadī ammāñ daadī ammāñ
kitnī sīdhī-sādī ammāñ
chāñdī jaise bāloñ vaalī kitnī achchhī daadī ammāñ
bāteñ un kī misrī jaisī qaul kī pakkī daadī amaañ
ujle ujle kapḌe pahne sīdhī-sādī daadī ammāñ
daadī ammāñ daadī ammāñ
kaisī sīdhī-sādī ammāñ
raat ga.e tak pariyoñ vaale qisse hameñ sunātī haiñ
giit sunā kar lorī gā kar mīThī niiñd sulātī haiñ
aadhī raat ga.e tak jāgte rahne kī hai aadī ammāñ
daadī ammāñ daadī ammāñ
kaisī sīdhī-sādī ammāñ
guḌiyā guDDe kī poshākeñ ham ko sī sī kar detī haiñ
jitne bhī haiñ paas hamāre sab sandūqche bhar detī haiñ
ban kar phir bachchoñ meñ bachcha kar detī hai shādī ammāñ
daadī amaañ daadī ammāñ
kaisī sīdhī-sādī ammāñ
abbū jab nārāz hoñ ham se vo abbū ko DāñTtī haiñ
ham bachchoñ ke har sukh-dukh ko vo hañs hañs ke bāñTtī haiñ
jaise koī shahr kā daadā vaise ghar kī daadī ammāñ
daadī ammāñ daadī ammāñ
kaisī sīdhī-sādī ammāñ
dadi amman dadi amman
kitni sidhi-sadi amman
chandi jaise baalon wali kitni achchhi dadi amman
baaten un ki misri jaisi qaul ki pakki dadi aman
ujle ujle kapDe pahne sidhi-sadi dadi amman
dadi amman dadi amman
kaisi sidhi-sadi amman
raat gae tak pariyon wale qisse hamein sunati hain
git suna kar lori ga kar miThi nind sulati hain
aadhi raat gae tak jagte rahne ki hai aadi amman
dadi amman dadi amman
kaisi sidhi-sadi amman
guDiya guDDe ki poshaken hum ko si si kar deti hain
jitne bhi hain pas hamare sab sanduqche bhar deti hain
ban kar phir bachchon mein bachcha kar deti hai shadi amman
dadi aman dadi amman
kaisi sidhi-sadi amman
abbu jab naraaz hon hum se wo abbu ko DanTti hain
hum bachchon ke har sukh-dukh ko wo hans hans ke banTti hain
jaise koi shahr ka dada waise ghar ki dadi amman
dadi amman dadi amman
kaisi sidhi-sadi amman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.