daera
ye sach hai ki maiñ is tamāshe meñ shāmil nahīñ
phir ye kaisī sazā mil rahī hai mujhe
ye maiñ kis dā.ere meñ khaḌā huuñ jahāñ
aaj koī nahīñ
ek mere sivā
vo havā jo kabhī mujh se vābasta thī
aaj mujh se judā ho ga.ī
merī āvāz ke saath jaane kahāñ kho ga.ī
ye maiñ kis dā.ere meñ khaḌā huuñ jahāñ
ik siyāhī hai gahrī ghanī har taraf
ḳhāmushī qabr kī ḳhāmushī har taraf
mere maazī kā sūraj siyah-pāniyoñ meñ girā bujh gayā
mere saare ujāle añdhere hue
aaj tanhā huuñ maiñ
haal ke is siyah dā.ere meñ khaḌā
ik tamāshā huuñ maiñ
ye sach hai ki main is tamashe mein shamil nahin
phir ye kaisi saza mil rahi hai mujhe
ye main kis daere mein khaDa hun jahan
aaj koi nahin
ek mere siwa
wo hawa jo kabhi mujh se wabasta thi
aaj mujh se juda ho gai
meri aawaz ke sath jaane kahan kho gai
ye main kis daere mein khaDa hun jahan
ek siyahi hai gahri ghani har taraf
KHamushi qabr ki KHamushi har taraf
mere mazi ka suraj siyah-paniyon mein gira bujh gaya
mere sare ujale andhere hue
aaj tanha hun main
haal ke is siyah daere mein khaDa
ek tamasha hun main
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-267 p-255)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.