daere
maiñ apnī sochoñ ke dā.eroñ meñ
talāshtā huuñ usī bashar ko
jo dā.eroñ kā makīñ nahīñ hai
jise hai pābandiyoñ se nafrat
jo bandishoñ kā amiiñ nahīñ hai
jo sāmne hai magar nahīñ hai
maiñ apnī sochoñ ke zāviyoñ ko
badalnā chāhūñ to kaise badlūñ
ki dā.ere to haiñ tiin sau saaTh degrēyoñ kī fasīl aisī
nahīñ hai rāh-e-farār jis meñ
maiñ apnā rasta badalnā chāhūñ to kaise badlūñ
jahāñ se bhī ibtidā karūñgā
vahīñ pe hī iḳhtitām hogā
maiñ dā.eroñ meñ bhaTak rahā huuñ
talāshtā huuñ pukārtā huuñ usī bashar ko
jo mere andar chhupā huā hai
maiñ ḳhud bhī aisā hī dā.era huuñ
jo apne andar bhaTak rahā hai
mirī ye āñkheñ kuchh aise sapnoñ ko bun rahī haiñ
jo dā.eroñ kī hudūd se hī nā-āshnā haiñ
maiñ apnī āñkhoñ ke dā.eroñ meñ utar sakūñ to
vo laal Dorī udheḌ Dālūñ
jo aise sapnoñ ko bun rahī hai
ki jin kī ta.abīr maiñ nahīñ huuñ
main apni sochon ke daeron mein
talashta hun usi bashar ko
jo daeron ka makin nahin hai
jise hai pabandiyon se nafrat
jo bandishon ka amin nahin hai
jo samne hai magar nahin hai
main apni sochon ke zawiyon ko
badalna chahun to kaise badlun
ki daere to hain tin sau saTh degreeyon ki fasil aisi
nahin hai rah-e-farar jis mein
main apna rasta badalna chahun to kaise badlun
jahan se bhi ibtida karunga
wahin pe hi iKHtitam hoga
main daeron mein bhaTak raha hun
talashta hun pukarta hun usi bashar ko
jo mere andar chhupa hua hai
main KHud bhi aisa hi daera hun
jo apne andar bhaTak raha hai
meri ye aankhen kuchh aise sapnon ko bun rahi hain
jo daeron ki hudud se hi na-ashna hain
main apni aankhon ke daeron mein utar sakun to
wo lal Dori udheD Dalun
jo aise sapnon ko bun rahi hai
ki jin ki tabir main nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.