daere
ūñche makānoñ kī dīvāroñ par harī bharī phūloñ kī bel
surma.ī bādaloñ ke ghuñghaT se merī chhoTī khiḌkī kī taraf
dekhtī hai
persuaders T.v par film chal rahī hai
maiñ kis ke ta.āqub meñ apnī taraf bhaag rahī huuñ
maiñ kolhū kā bail huuñ
roz ek dā.era apne ird-gird khīñchtī huuñ aur is dā.ere
ke aage ek aur dā.era phir ek aur
yuuñ aage hī aage dā.ere hī dā.ere
zindagī kā safar dā.eroñ se likhā gayā
subah dopahar shaam aañsū kī roTī dukh kā sālan aur
sard aahoñ kā paanī
barsātoñ kī shāmeñ nirmal komal dil ko yuuñ dahlātī haiñ
jaise ātish-dān kī qarīb soī billī an-jāne qadmoñ se chauñk jaa.e
ye bhī ek dā.era hai
is dā.ere ke andar hamāre hathiyār zamīn par paḌte haiñ
aur ham haath uThā.e āsmānī āvāz par
aage hī aage be-samt chalte jā rahe haiñ
dā.ere bante jā rahe haiñ
unche makanon ki diwaron par hari bhari phulon ki bel
surmai baadalon ke ghunghaT se meri chhoTi khiDki ki taraf
dekhti hai
persuaders Tw par film chal rahi hai
main kis ke taaqub mein apni taraf bhag rahi hun
main kolhu ka bail hun
roz ek daera apne ird-gird khinchti hun aur is daere
ke aage ek aur daera phir ek aur
yun aage hi aage daere hi daere
zindagi ka safar daeron se likha gaya
subah dopahar sham aansu ki roTi dukh ka salan aur
sard aahon ka pani
barsaton ki shamen nirmal komal dil ko yun dahlati hain
jaise aatish-dan ki qarib soi billi an-jaane qadmon se chaunk jae
ye bhi ek daera hai
is daere ke andar hamare hathiyar zamin par paDte hain
aur hum hath uThae aasmani aawaz par
aage hi aage be-samt chalte ja rahe hain
daere bante ja rahe hain
- Book : meyaar (Pg. 150)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.