daeron ke andar
zindagī simaTtī hai
dā.eroñ ke andar hī
kitnī baar baTtī hai
dā.eroñ ke andar hī
dā.ere se hote haiñ
kuchh ḳhutūt milte haiñ
kuchh ḳhutūt kaTte haiñ
zāviye badalte hī
zāviye badalte hī
kitnī shakleñ miTtī haiñ
kitnī shakleñ bantī haiñ
dā.eroñ ke andar hī
ham bhī saañs lete haiñ
zāviyoñ meñ jiite haiñ
qā.edoñ meñ hañste haiñ
phailte haiñ shakloñ meñ
aur ḳhutūt bante haiñ
jab ḳhutūt kaTte haiñ
qaus qaus kī sūrat
ham bhī phir simaTte haiñ
ham ki ek nuqta haiñ
dā.eroñ ke andar hī
ghaTte baḌhte rahte haiñ
zindagī simaTtī hai
dā.eroñ ke andar hī
kitnī baar baTtī hai
zindagi simaTti hai
daeron ke andar hi
kitni bar baTti hai
daeron ke andar hi
daere se hote hain
kuchh KHutut milte hain
kuchh KHutut kaTte hain
zawiye badalte hi
zawiye badalte hi
kitni shaklen miTti hain
kitni shaklen banti hain
daeron ke andar hi
hum bhi sans lete hain
zawiyon mein jite hain
qaedon mein hanste hain
phailte hain shaklon mein
aur KHutut bante hain
jab KHutut kaTte hain
qaus qaus ki surat
hum bhi phir simaTte hain
hum ki ek nuqta hain
daeron ke andar hi
ghaTte baDhte rahte hain
zindagi simaTti hai
daeron ke andar hi
kitni bar baTti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.