dā.ere se TuuT kar gir paḌeñge abhī
aur ham apne hone kī pādāsh meñ
būḌhī sadiyoñ kī TuuTī huī qaus par
ek tārīk nuqte meñ kho jā.eñge
dā.eroñ ke maqābir meñ so jā.eñge
dā.ere ḳhvāhishoñ ke maqābir sahī
dā.ere aarzū ke mīnār haiñ
dā.ere be-sabātī ke marqad nahīñ
dā.ere guzre vaqtoñ ke āsār haiñ
dā.eroñ kī fasīloñ meñ lipTe hue
an-ginat log jīvan se bezār haiñ
jaane din ke lahū se siyah-rāt ko
haath dhone meñ kaisī masarrat milī
kaise kaise javāñ-mard the jo kabhī
chāñdnī ke safar par ravāna hue
mausamoñ kī tamāzat ko oḌhe hue
nā-rasā.ī ke āzār meñ kho ga.e
kitne taare ḳhalāoñ kī dahlīz par
raat ke dasht-e-vīrān meñ so ga.e
dā.eroñ kī fasīloñ se girtā lahū
shahr ke be-navāoñ kā tāvān hai
jangaloñ meñ bhaTaktī sadā kī tarah
shahr kā har sadā-kār be-jān hai
be-gharoñ kī tarah besvā kī tarah
kohsāroñ se uljhī havā kī tarah
shahar ke chauk meñ naqsh-e-pā kī tarah
dā.eroñ kī fasīloñ se Darte raho
zard pattoñ kī sūrat havā kī tarah