dagh
Interesting Fact
This Nazm was written when Sir Iqbal was alive.
hai ab tak sehr sā chhāyā tirī jādū-navā.ī kā
dil-e-urdu pe ab tak daaġh hai terī judā.ī kā
zabān-e-sher se ab bhī tirī āvāz suntā huuñ
jo niklā thā tirī mizrāb se vo saaz suntā huuñ
taġhazzul ko tirī rañgīñ navā.eñ yaad haiñ ab tak
tire naġhmoñ se dil kī bastiyāñ ābād haiñ ab tak
diloñ ko ab bhī chamkātī hai sham-e-ārzū terī
lab-e-tahrīr par ab tak hai shīrīñ guftugū terī
tire jazbāt meñ ab tak sadāqat jagmagātī hai
tirī guftār kī shoḳhī diloñ ko gudgudātī hai
niyāz-o-nāz kī mahfil meñ terā naam rahtā hai
tire mastoñ ke aage ab bhī terā jaam rahtā hai
tirī rañgīniyoñ meñ sādgī kī shaan hotī hai
tire afkār kī duniyā bhī sheristān hotī thī
tire naġhme sukūñ-parvar the arbāb-e-mohabbat ke
sadā be-dāġh dekhā hai tire dāmān-e-fitrat
chhalaktī thiiñ tire dil kī adā.eñ bhī nigāhoñ se
balā kā dard hotā thā tirī ḳhāmosh aahoñ meñ
tū banda thā mohabbat kā mohabbat thī tire dil meñ
samundar maujzan rahtā thā is chhoTe se sāhil meñ
tire lab par vahī aatā thā jo har dil meñ hotā thā
vo ban jaatā thā shā.ir jo tirī mahfil meñ hotā thā
fasīh-ul-mulk thā jān-e-fasāhat terī bāteñ thiiñ
qayāmat jis pe dam de vo qayāmat terī bāteñ thiiñ
tirī guftār meñ ham ne mazāq-e-zindagī dekhā
tire sāzoñ meñ dil ke soz kā mafhūm thā goyā
tirī hastī ko rāz-e-do-jahāñ ma.alūm thā goyā
farishtoñ kā taqaddus thā tire husn-e-takallum meñ
tire aañsū meñ soz-e-dil thā yā sho.ala thā shabnam meñ
zabāñ ko hūr-o-ġhilmāñ ne tirī kausar se dhoyā thā
ḳhudā ne bahr-e-ulfat meñ tirī ulfat ko khoyā thā
anādil bhī baḌhe terī taraf dāman ko phailā.e
mohabbat kī zabāñ se tū ne jis dam phuul barsā.e
fazā ko kar diyā rañgīn apnī naġhma-ḳhvānī se
guloñ meñ phūñk dī rūh-e-tabassum gul-fishānī se
tire naġhme bahe jab nik.hat-e-gul ke safīne meñ
to laale ne biThāyā lā ke tujh ko apne siine meñ
har ik dard-āshnā dil meñ rakhā tujh ko mohabbat ne
biThāyā chāñd ke māthe pe tujh ko dast-e-qudrat ne
zamīn-e-sher ne paayā thā auj-e-āsmāñ tujh se
zabāñ kā lutf thā ai bulbul-e-hindustāñ tujh se
payambar thā suḳhan kā to tire naġhmoñ pe jūmeñge
ham apne dīda-e-dil se tirī turbat ko chūmeñge
raheñge hashr tak baaqī tire naġhme nahīñ faanī
bajā hai tujh ko kahte haiñ jo ham tilmīz-e-rahmānī
tire jazbāt ke pur-kaif sailāboñ meñ bahte haiñ
haqīqat-āshnā tujh ko jahāñ-ustād kahte haiñ
jahān-e-ārzū meñ ab bhī hāl-o-qāl terā hai
suḳhan kī mumlikat meñ aaj tak iqbāl terā hai
suḳhan-fahmoñ ke dil meñ ab bhī terī yaad baaqī hai
ġhazal ke mai-kada jab tak hai qaa.em tū hī saaqī hai
dakan meñ zauq thā zauq-e-suḳhan mahbūb thā tujh ko
hameñ ma.alūm hai mulk-e-dakan mahbūb thā tujh ko
dakan ko aane vaale bas gayā mulk-e-dakan meñ tū
ki bulbul thā banāyā āshiyāñ apnā chaman meñ tū
qayāmat tak na bhūleñge tujhe tere vatan vaale
kahīñ bulbul ke naġhme bhuul jaate haiñ chaman vaale
dil-e-betāb ke barbat pe naġhma dard kā gaayā
taġhazzul se hamārī mahfiloñ ko tū ne garmāyā
tire ehsān ke gun gā.egā josh-e-vafā-koshī
dakan vāloñ kī fitrat meñ nahīñ ehsāñ-frāmoshī
kaleja thaam kar apnā tire ash.ār gā.eñge
dakan kī vādiyoñ meñ ham tire naġhme basā.eñge
aqīdat-āfrīñ gul terī turbat par chaḌhā.eñge
tire har sher ko ham apnī āñkhoñ se lagā.eñge
hai ab tak sehr sa chhaya teri jadu-nawai ka
dil-e-urdu pe ab tak dagh hai teri judai ka
zaban-e-sher se ab bhi teri aawaz sunta hun
jo nikla tha teri mizrab se wo saz sunta hun
taghazzul ko teri rangin nawaen yaad hain ab tak
tere naghmon se dil ki bastiyan aabaad hain ab tak
dilon ko ab bhi chamkati hai sham-e-arzu teri
lab-e-tahrir par ab tak hai shirin guftugu teri
tere jazbaat mein ab tak sadaqat jagmagati hai
teri guftar ki shoKHi dilon ko gudgudati hai
niyaz-o-naz ki mahfil mein tera nam rahta hai
tere maston ke aage ab bhi tera jam rahta hai
teri ranginiyon mein sadgi ki shan hoti hai
tere afkar ki duniya bhi sheristan hoti thi
tere naghme sukun-parwar the arbab-e-mohabbat ke
sada be-dagh dekha hai tere daman-e-fitrat
chhalakti thin tere dil ki adaen bhi nigahon se
bala ka dard hota tha teri KHamosh aahon mein
tu banda tha mohabbat ka mohabbat thi tere dil mein
samundar maujzan rahta tha is chhoTe se sahil mein
tere lab par wahi aata tha jo har dil mein hota tha
wo ban jata tha shair jo teri mahfil mein hota tha
fasih-ul-mulk tha jaan-e-fasahat teri baaten thin
qayamat jis pe dam de wo qayamat teri baaten thin
teri guftar mein hum ne mazaq-e-zindagi dekha
tere sazon mein dil ke soz ka mafhum tha goya
teri hasti ko raaz-e-do-jahan malum tha goya
farishton ka taqaddus tha tere husn-e-takallum mein
tere aansu mein soz-e-dil tha ya shoala tha shabnam mein
zaban ko hur-o-ghilman ne teri kausar se dhoya tha
KHuda ne bahr-e-ulfat mein teri ulfat ko khoya tha
anadil bhi baDhe teri taraf daman ko phailae
mohabbat ki zaban se tu ne jis dam phul barsae
faza ko kar diya rangin apni naghma-KHwani se
gulon mein phunk di ruh-e-tabassum gul-fishani se
tere naghme bahe jab nikhat-e-gul ke safine mein
to lale ne biThaya la ke tujh ko apne sine mein
har ek dard-ashna dil mein rakha tujh ko mohabbat ne
biThaya chand ke mathe pe tujh ko dast-e-qudrat ne
zamin-e-sher ne paya tha auj-e-asman tujh se
zaban ka lutf tha ai bulbul-e-hindustan tujh se
payambar tha suKHan ka to tere naghmon pe jumenge
hum apne dida-e-dil se teri turbat ko chumenge
rahenge hashr tak baqi tere naghme nahin fani
baja hai tujh ko kahte hain jo hum tilmiz-e-rahmani
tere jazbaat ke pur-kaif sailabon mein bahte hain
haqiqat-ashna tujh ko jahan-ustad kahte hain
jahan-e-arzu mein ab bhi haal-o-qal tera hai
suKHan ki mumlikat mein aaj tak iqbaal tera hai
suKHan-fahmon ke dil mein ab bhi teri yaad baqi hai
ghazal ke mai-kada jab tak hai qaem tu hi saqi hai
dakan mein zauq tha zauq-e-suKHan mahbub tha tujh ko
hamein malum hai mulk-e-dakan mahbub tha tujh ko
dakan ko aane wale bas gaya mulk-e-dakan mein tu
ki bulbul tha banaya aashiyan apna chaman mein tu
qayamat tak na bhulenge tujhe tere watan wale
kahin bulbul ke naghme bhul jate hain chaman wale
dil-e-betab ke barbat pe naghma dard ka gaya
taghazzul se hamari mahfilon ko tu ne garmaya
tere ehsan ke gun gaega josh-e-wafa-koshi
dakan walon ki fitrat mein nahin ehsan-framoshi
kaleja tham kar apna tere ashaar gaenge
dakan ki wadiyon mein hum tere naghme basaenge
aqidat-afrin gul teri turbat par chaDhaenge
tere har sher ko hum apni aankhon se lagaenge
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.