dal ki fariyaad
ek laḌkī baghārtī hai daal
daal kartī hai arz yuuñ ahvāl
ek din thā harī-bharī thī maiñ
saarī āfāt se barī thī maiñ
thā harā khet merā gahvāra
vo vatan thā mujhe bahut pyārā
paanī pī pī ke thī maiñ lahrātī
dhuup letī kabhī havā khātī
meñh barastā thā jhoñke aate the
godiyoñ meñ mujhe khilāte the
yahī sūraj zamīñ the maañ baavā
mujh se karte the nek bartāvā
jab kiyā mujh ko pāl-pos baḌā
aah zālim kisān aan paḌā
ga.ī taqdīr yak-ba-yak jo palaT
khet kā khet kar diyā talpaT
ḳhuub luuTā dhaḌī dhaḌī kar ke
mujh ko gaunoñ meñ le ga.e bhar ke
ho ga.ī dam ke dam meñ barbādī
chhin ga.ī haa.e merī āzādī!
kyā batā.ūñ kahāñ kahāñ khīñchā
dāl-manDī meñ mujh ko jā bechā
ek zālim se vaañ paḌā paalā
jis ne chakkī meñ mujh ko dal Daalā
huā taqdīr kā likhā puurā
donoñ pāToñ ne kar diyā chūrā
na sunī merī aah aur zaarī
ḳhuub baniye ne kī ḳharīdārī
chhānā chhalnī meñ chhāj meñ phaTkā
qaid-ḳhāna mirā banā maTkā
phir muqaddar mujhe yahāñ laayā
tum ne to aur bhī ġhazab Dhāyā
khaal khīñchī alag kiye chhilke
zaḳhm kyūñ-kar hare na hoñ dil ke
Dālīñ marcheñ namak lagāyā ḳhuub
rakh ke chūlhe pe jī jalāyā ḳhuub
us pe kaf-gīr ke bhī Thoke haiñ
aur nāḳhun ke bhī kachoke haiñ
mere galne kī le rahī ho ḳhabar
daañt hai aap kā mire uupar
garm ghī kar ke mujh ko daaġh diyā
haa.e tum ne bhī kuchh na rahm kiyā
haath dho kar paḌī ho pīchhe tum
jaan par aa banī havās haiñ gum
achchhī bī-bī tumhīñ karo insāf
zulm hai yā nahīñ qusūr-muāf
kahā laḌkī ne merī pyārī daal
mujh ko ma.alūm hai tirā sab haal
tū agar khet se nahīñ aatī
ḳhaak meñ mil ke ḳhaak ho jaatī
yā koī gaa.e bhaiñs char letī
peT meñ apne tujh ko bhar letī
maiñ to rutba tirā baḌhātī huuñ
ab chapātī se tujh ko khātī huuñ
na satānā na jī jalānā thā
yuuñ tujhe aadmī banānā thā
aglī biitī kā tū na kar kuchh ġham
mehrbānī thī sab, na thā ye sitam
ek laDki baghaarti hai dal
dal karti hai arz yun ahwal
ek din tha hari-bhari thi main
sari aafat se bari thi main
tha hara khet mera gahwara
wo watan tha mujhe bahut pyara
pani pi pi ke thi main lahraati
dhup leti kabhi hawa khati
meinh barasta tha jhonke aate the
godiyon mein mujhe khilate the
yahi suraj zamin the man bawa
mujh se karte the nek bartawa
jab kiya mujh ko pal-pos baDa
aah zalim kisan aan paDa
gai taqdir yak-ba-yak jo palaT
khet ka khet kar diya talpaT
KHub luTa dhaDi dhaDi kar ke
mujh ko gaunon mein le gae bhar ke
ho gai dam ke dam mein barbaadi
chhin gai hae meri aazadi!
kya bataun kahan kahan khincha
dal-manDi mein mujh ko ja becha
ek zalim se wan paDa pala
jis ne chakki mein mujh ko dal Dala
hua taqdir ka likha pura
donon paTon ne kar diya chura
na suni meri aah aur zari
KHub baniye ne ki KHaridari
chhana chhalni mein chhaj mein phaTka
qaid-KHana mera bana maTka
phir muqaddar mujhe yahan laya
tum ne to aur bhi ghazab Dhaya
khaal khinchi alag kiye chhilke
zaKHm kyun-kar hare na hon dil ke
Dalin marchen namak lagaya KHub
rakh ke chulhe pe ji jalaya KHub
us pe kaf-gir ke bhi Thoke hain
aur naKHun ke bhi kachoke hain
mere galne ki le rahi ho KHabar
dant hai aap ka mere upar
garm ghi kar ke mujh ko dagh diya
hae tum ne bhi kuchh na rahm kiya
hath dho kar paDi ho pichhe tum
jaan par aa bani hawas hain gum
achchhi bi-bi tumhin karo insaf
zulm hai ya nahin qusur-muaf
kaha laDki ne meri pyari dal
mujh ko malum hai tera sab haal
tu agar khet se nahin aati
KHak mein mil ke KHak ho jati
ya koi gae bhains char leti
peT mein apne tujh ko bhar leti
main to rutba tera baDhati hun
ab chapati se tujh ko khati hun
na satana na ji jalana tha
yun tujhe aadmi banana tha
agli biti ka tu na kar kuchh gham
mehrbani thi sab, na tha ye sitam
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.